Hi dosto! Ummeed hai ki aap log Rohit Mewada ko jante hi honge . Hindi bloggers me sbse popular Blogger Rohit Mewada Www.Hindimehelp.com ke Owner hain . HMH ki Alexa Ranking 33000 (Lagbhag) Hai . Jisse aap khud andaza lga skte hain ki Rohit Mewada ka Blog kitna popular hai . Aur inhone apne mehnat aur lagan se bahut hi kam samay me Professional Blogging me naam aur Paisa Kama liya aur Kama rhe hain .
Aur Sbse badi baat hai ki Rohit mewada ne Blogging ka ek nya trend chalu kar diya . Unhone Hinglish Me Blogging kiya aur Blogging ka najariya hi Badal ke rakh diya . Rohit mewada ke wajah se Bahut se logo ne Blogging Karna Sikha . Kuch logo ne unko copy bhi kiya . Lekin Copy karne se koi fayda nahi hota . Ye toh aap achi tarah se samjhte hi honge .
Mai iss post me bataunga ki Kaise Aap bhi Rohit Mewada ki tarah ek Successful Blogger ban skte hain . Rohit ji mere bahut achhe friend bhi hain . Aur unke post likhne ka andaaz , unke blog ka topic hi unke success hone ke reason ko btata hai . Lekin fir bhi maine kuch analysis kiya hai jo aap logo ko batana chahta hun .
Aur agar aap bhi in baaton ko khyal me rakhe toh Aap bhi Rohit Mewada ki tarah ek successful blogger ban sakte hain.
Aur agar aap bhi in baaton ko khyal me rakhe toh Aap bhi Rohit Mewada ki tarah ek successful blogger ban sakte hain.
Mai aapko step by step aise reasons ko btaunga jo Rohit Mewada Ke Success ko Define krta hai –
1. Content Quality 👌 :-
Rohit Mewada Ka Blog Hindimehelp agar popular hua toh unke quality content ke karan . Jb bhi hum unke Blog ko dekhte hain toh unka content ekdam original, genuine aur full detailed hota hai . Jo ek new visitor ko bhi attract kr leta hai.
Kisi bhi blog me Content hi sbse phla chiz hota hai . Hindimehelp par jo bhi content publish hota hai wo sirf aur sirf visitors ke liye hi hota hai . Jo unki help ke liye hota hai .
Isiliye agar Blogging me success pana hai toh sbse phle quality content bnane par focus kare . Sbse phla step content hi hai .
2. Evergreen Content Topic 🌱 :-
Agar aap HMH ke regular visitor hain toh aapne ek chiz toh notice kiya hoga ki Rohit Mewada apne Blog Hindimehelp par Evergreen content hi daalte hain .
Evergreen content ka matlab ki aisa content jo 10 saal baad bhi koi dekhe toh usko usse fayda mile .
Waise hi agar aap apne blog par aise content daalte hai jo kuch month me uski value khatam ho jati hai toh aise content ka koi fayda nahi hai . Aap apne blog par kachra mat falao . Baki aapko samjh aa gya hoga .
3. Internal Linking ⚓:
Aapne Wikipedia toh life me jarur kabhi na kabhi open kiya hoga . Usme aap dekhte honge ki lakho articles available hain . Aur jb aap koi ek article padh rhe hote hain toh ussi article me koi aisa word aa jata hai jo Wikipedia pat available hota hai toh Wikipedia uska link de deta hai.
Same yahi chiz aapko Rohit Mewada ke HMH par bhi dekhne milti hai . Isi ko internal link bhi kaha jata hai .
Iss internal link se aapko fayda yah milta hai ki visitors aapke blog par jyada der tk bane rhte hain . Aur aapke purane post ko bhi padhte hain .
Internal linking ek SEO (Search Engine Optimization) ka hi part hota hain .
4. Passion⛷ :
Rohit Mewada Ka jo likhne ka passion hai apne visitors ke liye wo bilkul hi alag hai . Unka presentation skill aur itna easy way me likhte hain jo unko unique bnata hai.
Unke post me use kiya gya Headings ,Images ek alag hi roop deta hai . iske sath sath pp unki poori koshish yah rhti hai ki Post ko SEO friendly banaya jay.
Friends mai aapse yahi khna chahta hun ki aap bhi agar apne writing skill ko visitors ke liye समर्पित kr de toh aapka blog bhi successful blog ke list me aa jayegi .
5 . Helpful Nature 👥:
Jaisa ki unke Blog ka naam hai Hindimehelp . Isse saaf saaf pta chlta hai ki Yah blog Help krne ke liye hi banaya gya hai . Aur Rohit Mewada kitne Helpful nature ke hain ye toh sbko pta hai . Aur unki yahi khoobi new visitors ko bhi pasand aati hai aur inke blog ko baar baar visit krte hain .
Agar aap bhi apne blog ko visitors ke help ke liye banayenge . Aur visitors ko aapke Blog se unke problem ka solution milega toh aapke Blog ko dubara dekhne jarur aayenge .
6. SEO (Search Engine Optimization) 📣:-
Starting me jab yah Blog bna tha toh Rohit Mewada ne SEO par jyada dhyan na dekar social media ko jyada use kiya . Lekin social media par sharing krne ka fayda jyada time tk nhi milta tha . Isliye Rohit Mewada ne SEO par kaam karna chalu kiya . Aur result aap logo ke saamne hai .
Aap jaise hi hindi me Blog , WordPress , Make Money Online , Youtube se related kuch google par search krte hain toh sbse phle aapko Hindimehelp hi dekhne milta hain . Ye sab SEO ka hi khel hai.
Toh Friends SEO yani ki Search Engine Optimization word aapne bahut suna hoga hai . Aur shayad iske baare me aapko pta bhi hoga . Aur fir bhi aap apne Blog me SEO ko ignore kr rhe hain toh yah future ke liye thik nahi hoga. Bhale hi aapka Blog search result me phle par aa rha hoga . Lekin baad me competition badh jane par aapka Blog search result se gayab ho skta hai . Isliye aap bhi SEO friendly post hi publish kare aur SEO ko maintain kare.
(1) On page Seo 🔈 :
SEO me kuch terms aate hain . unme se ek hai On page SEO . On page SEO aapke post writing ke time Proper Keywords , Headings , Paragraph par depend krta hai. Aur aapko time to time apne blog sw related keywords ko research krte rhna chahiye .
(2)on site SEO 🔊:
SEO me jo dusra term aata hai wo Hai On site SEO . On Site SEO Blog post ke eye catching title aur permalink par depend krta hai . Aapke Post ka Title jitna hi SEO friendly hoga uski CTR jyada hogi . CTR ka Matlab Click Through Rate .
Bahut se log Permalink par dhyaan nahi dete hain . Agar aapne bhi permalink par dhyan nahi diya toh aapko har ek post ka permalink change karna chahiye .
Blog post ka Permalink Kaise Change Kare .
(3)Off Site Seo 🔉:
SEO me ek aur Term aata hain Off site SEO . Yah SEO aapke blog ka badhiya ranking wali blog ke sath Backlink par depend krta hain . Iske liye aap apne hi blog ke topic se related blog par comment krna shuru kr dijiye . Isse aapko Backlink ke sath apki Alexa Ranking bhi improve hoti hai .
7. Simplicity 👤:
Abhi mai Rohit Mewada ke hi characteristics ke baare me hi bta rha hun . Simplicity unke andar कूट कूट कर भरी हुई है ☺ . Wo jyada dikhawa bhi nahi krte hain . Aur sabhi ke sath achha व्यवहार rkhne me विश्वास rkhte hain .
Aapke kaam ke sath sath aapka ek achha insaan hona bhi aapke सफलता ka रहस्य hota hain .
दोस्तों ! मैंने जो कुछ भी हिंदी में हेल्प और इसके फाउंडर रोहित मेवाड़ा के बारे में विश्लेषण किया वो मेरी खुद की थी , और अगर आपको भी रोहित जी की तरह एक सफल ब्लॉगर बनना है तो आप भी रोहित जी से प्रेरणा लीजिये और सीखिये । उनके ब्लॉग को कॉपी मत कीजिये उनके जैसा मन लगाकर काम कीजिये । सफलता आपके कदम चुमेगी ।