Hi Friends, Kya apko MAC Filtering ke bare me pta hai?. Kya apko WPS PIN ke bare me kuch pta hai?. Agar apko MAC Filtering aur WPS PIN ke bare me pta hai. to acchi baat but agar nahi pat hai to aaj mai apko iske bare me Details me batane wala hu, Ki MAC Filter aur WPS PIN Kya hote hai. Kaise kam karte hai aur hum isse kya kar sakte hai.
WPS (Wifi Protected Setup) PIN:
WPS ek Network Security Slandered hai. Jsike use se hum apke Home Network ko Secure karte hai. Agar apko Kisi Wifi Router ka WPS PIN pta hai to aap us Router se directly connect kar sakte hai. Bina koi Security Password ya IP Address ke use se.
But WPS PIN Router Admin ke pass hota hai, iska matlab agar apko WPS PIN pta karna hai to us router se kam se kam ek bar to connect hona padega.
Kyoki jab tab aap Router se Connect nahi honge tab tak aap Router ke Admin me enter nahi kar sakte hai. Agar aap Router ke admin me nahi ja sakte to aap kabhi WPS PIN ke bare me jankari hasil nahi kar sakte hai.
WPS PIN Ko Kaise Pta kare:
- Sabse pahle apko us Wifi Router se Connect hona padega. Jiska aap WPS PIN Pta karna chahte hai.
- Ab aap Apne Computer me kisi Browser ko open kare.
- Ab aapko Wifi Router ke Admin panel me Login karna hai,
Example ke taur par Mai TPLink ka Wifi Router use karta hu, TpLink ke Admin panel me login karne ke mai “http://tplinkwifi.net/” ko open karte hu, aur TP Link ka Username “Admin” aur Password “Admin” Enter karke Login karta hu.
Ab aap soch rahe honge apko to Wifi Router ke Admin panel ka Username aur Password apko kaise milega to ye bahut Simple hai. Kyoki Sabhi Wifi Router ke Admin panel ka Username “Admin” aur password “Admin” ya “password” hi rahta hai.
- Agar aap TPlink ka Router use karte hai to jaise hi aap Admin panel me login karenge Menu me apko WPS ka Option mil jayega. Ya fir aap koi aur stranded Wifi Router Use karte hai to apko Menu me Advance Wizard Option par jana hoga.
- Yha se aap WPS Copy kar sakte hai, New Generate kar sakte hai, WPS PIN ko Disable kar sakte hai ya agar aap WPS PIN ko Restore karna chahe to Restore kar sakte hai.
- Agar aap ne yha se WPS PIN Copy karke apna System Connect ker liya to apke System ya Smartphone me Wifi Password Dalne ke kabhi jarurat nahi padega, aur apka System hamesha Connected rahega Router ka Password chahte Jitne bar Change kiya jaye.
Related: Best 3 Way To Find (Hack) Wifi Password
MAC Filtering:
Suppose ek Ghar me aap 10 Friends ho aur apne ek Wifi Router lgya hai. Wifi ke password ke bare me sabko pta hai but aap Chahte ho 10 me keval 5 log hi Wifi Router se Connect kar sake baki 5 log connect na kar paye. Agar apko aisa karna hai to iske liye apko MAC Filtering ka Use karna hoga.
MAC Filtering Kam kaise Karta hai:
Dosto jaise Sabhi Human ke pass unka ek Permanent Address hota hai. Ussi tarah har ek Computer ya mobile ka Permanent Address hota hai. Jise MAC (Media Access Control) Address kha jata hai.
Agar apke pass koi Computer ya mobile Device hai aur aap kisi bhi Wifi Router se Connect karte hai. To apke Computer ya Mobile ka MAC Address Wifi Router ke Wireless MAC Filter me jaker Save ho jata hai.
Jaise hi aap apne Router ke Admin panel me login karke “Wireless” me jaker “Wireless MAC Filter” par click karnge. To apke Samne Router se Connected sabhi System ka MAC Address aa jayega.
But agar aap MAC Filtering “Disable” rakhte hai to apke Router me kisi bhi System ka MAC address nahi Save hoga. Aise me agar aap Ek User hai aur aap MAC Filtering Disable kar dete hai to Admin apke bare me kabhi pta nahi kar payega.
Wifi Router ke MAC Filtering se aap jiska chahe uska System permanently Disconnect kar sakte hai. ya kisi particular MAC Address ko Disable kar sakte hai.
Agar aap ke pass koi Wifi Router lga hai to apko MAC Filtering hamesha Check karte rahna chahiye ki apke Wifi Router se kaun-kaun se System Connect hai. Agar apke Wifi router me koi Unknown System Connected hai. To aap us MAC Address ko Delete ya Disable kar de.
दोस्तों उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा. अगर इस पोस्ट से रिलेटेड आपके पास कोई प्रॉब्लम या इस पोस्ट के बारे में आपके पास सुझाव या विचार हो. तो हमें कमेंट जरुर करे.
धन्यवाद