Hi Friends, Kya aap Self Hosted Blog bnana Chahte hai? Kya aap chante hai Free Website Kaise Banaya jata hai? Kya aap Blogger aur WordPress ke alawa Free Blog Bnana chahte hai. Is Post me mai aapko Top 5 aise Free Blogging platform ke bare me btaung jinpar aap Free Blog bna sakte hai.
Koyi bhi Blogger, Professional Blogging Start karne se pahle ek Free Blog bnata hai aur check karta hai ki jo usne content likha hai usper kitni traffic aa rhi hai. Top 5Free Blogging platform Blogging sikhane ke liye bahut hi acchi jagah hai.
Free Blogging platform par apko koi Hosting Charge (Hosting Kya hai?) nahi dena padta hai aur aap Blogging free me kar sakte hai. Google ke Blogger ke bare me to suna hoga apne yah ek bahut popular free Blogging platform hai.
Top 5 Free Blogging platform:
Mai aaj aapko jo Top 5 Free Blogging platform ke bare me batane wala hu unke bare me sayad aap log jante ho.
1.Postach.io:
Postach ek bahut hi simple aur bahut hi accha Free Blogging Platform hai. Postach par 1 minute me apna blog create kar lenge wo bhi bilkul free me. Postach ek Free Blog hosting site hai, jise Evernote ne banaya hai.
2. Tumblr.com:
Tumble par aap Free Blog site, Free Blog Hosting ya Traffic Generator ye tino kam aap Tumblr par Free me kar sakte hai.
Tumblr ek bahut Best platform hai free me blogging ke liye aur sath hi sath Tumblr ka use aap traffic Generator ke liye kar sakte hai kyoki yah social site Twitter par apke post ko share karta hai.
3.Medium.com:
Medium.com Twitter ki free Blogging platform hai.Medium par aap Creative blog bna sakte hai. agar aap ek niche Writer hai to Medium apke liye hai.
Medium par aap kisi bhi magazine ko select karke uspar content likh sakte hai jo apke content writing skill ko increase kar sakte hai.
4. Weebly.com:
Weebly ko mai WordPress par Blogging se pahle use karta tha. yah ek bahut accha Free Blogging platform hai. Kyoki ispar apko keval Drag and Drop karna hota hai Webpage banne ke liye. Weebly se aap ek Amazing blog bna sakte hai.
5. Ghost.org:
Ghost par Free blog Hosting karke aap ek Professional blogger ban sakte hai kyoki Ghost par apko Blogging ke bahut se Concept free me milte hai jinke liye apko WordPress par paise lagane padte hai.
Gost.org ek Open Source Blogging platform hai aur ispar aap Long time ke liye free me blogging kar sakte hai. Ghost hi WordPress ka sabse bda competitor hai yah baat WordPress ke Founder ne kahi thi.
Read: Blogging aur Youtube Me se Kiske Dwara Online Jyada Paisa Kamaya ja sakta hai?
Full Blogging Setup Guide:
उम्मीद है यह पोस्ट आपको पसंद आया होगा | Top 5 Free Blogging platform एक Informative पोस्ट है जिसमे हमने आपको Google ब्लॉगर और WordPress के अलावा 5 ऐसे Blogging platform के बारे में बताया है जिनपर आप फ्री में ब्लॉग बना सकते है Free Website Banane ke Liye yah sabse acche aur sabse Popular Top 5 Free Blogging Platform hai.