How To Update Moto G 2nd, 3rd Gen On Android Nougat
Hi Friends, Kya aap apne Moto G Smartphone ko Android Nougat me Update karna chahte hai. Aaj mai apko Kuch aise Tricks bataunga jisse aap bahut asani se. Apne Moto G 2nd, 3rd Generation Smartphone ko Android Nougat me Update kar sakte hai.
Jiasa ki aap ko pta hoga Android Nougat, Google Android Ka Latest Version Operating System hai. Jisme apko bahut se latest feature dekhane ko milenge. iske kuch feature neeche diye gaye hai.
- Multi Windows Support
- Battery Profiles
- Stunning Design
- Best Graphics
Moto G 2013 me launch huaa tha jiske sath apko Android Lollipop 5.0.0 OS milta hai. But abhi uska Official Update aa chuka hai agar apke Smartphone me nahi aaya hai. to koi baat nahi. Aap CM14 se apne Moto G 2nd aur 3rd generation Smartphone ko Android Nougat 7.0.0 me update kar sakte hai.
Moto G Smartphone Ko Android Nougat Me Update kaise kare:
Moto G ko Android Nougat me Update karne se Pahle apko kuch requirement hai. Jinhe fulfill karna hoga.
- Moto G Smartphone me kam se kam 4GB ka Space Hona chahiye wo bhi Internal Storage me.
- Apke device me “Twrp Recovery” installed hona chahiye.
- apke phone ki battery kam se kam 70% Charge hona chahye.
Jab ye sari Requirement apke Moto G Smartphone me Fulfill ho,tab aap CM14 Android Nougat Update karne ke liye ready hai. Ab aap Neeche diye gaye step ko follow kar ke apne Smartphone ko Android Nougat par update kar sakte hai.
- Moto G 2nd aur 3rd Generation ke liye CM14 ko ne Laptop ya Computer me download kare.
- Related: Download CM14 for Moto G 2nd
- Related: Download CM14 for Moto G 3rd
- CM14 ko download ho jane ke bad aap apne Smartphone ko apne PC me USB Cable se Connect kare.
- Ab aap CM14 Root file ko apne Smartphone me copy kar le aur apne Smartphone ko PC se disconnect kar de.
- Power Key par press karke apne Smartphone ko Switch OFF kar de.
- Ab aap apne Smartphone ko Recovery Mode me karne ke liye Up Volume Button + Power Key. Ko ek sath tab tak dabaye rakhe jab tak Recovery Root ka Option nahi aa jata.
- Ab apka Smartphone Booting mode me aa gaya hai. Kuch samay Boot karne ke bad apko Neeche diye gaye Option Dekhenge.
- Sabse pahle aap “Wipe” par Click Kare.
- Ab aap Wipe me “Wipe Data/Factory Reset” par click kare.
- Wipe Data me “Wipe Cache” par click kare.
- Ab aap “Cache partition” par click kare.
- Cache Partition me “Dalvik Cache” par click kare.
Ab aap Main manu me waps jaye aur apka Data Backup ho jayega.
- Aap ab Install par click kare.
- Cm14 ko Select kare aur Installation Confirm kare.
- Jab Installation Confirm ho jayega tab apko Successeful ka Notification mil jayega.
दोस्तों ये Moto G में एंड्राइड latest Nougat इंस्टालेशन का सबसे accha तरीका है. लकिन इसे आप तभी करे जब आपको जब आपको Twrp Recovery और कस्टम ROM के बारे में अच्छे से पता हो.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा. अगर इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार हो तो आप हमें कमेंट करे.
धन्यवाद