Hi Friends, Aaj hum baat karenge Mobile Processor Hexa, Octa, Quad Core ke bare me. Actually mai bahut dino se ye soch rha tha ki Processor me ye Hexa Core, Octa Core aur Quad Core kya hote hai aur Processor me inka kya kaam hota hai.
Example ka taur par jab hum koi new Smartphone lene jate ya Online Purchase karte hai to hum Mobile me generally check karte hai, ki Mobile me kaun si Company ka Processor lga hai aur Kaun se type ka processor lga hai. Neeche kuch Smartphone Processor Companiyo aur Processor ke Types diye gaye hai. Jinhe hum apne Smartphone ke liye use karte hai.
Mobile Phone Processor Company:
- Snapdragon Qualcoumm
- MediaTek
- Intel Atom
- Apple
- Samsung
Smartphone Processor Types:
- Single Core
- Dual Core
- Quad Core
- Hexa Core
- Octa Core
Smartphone ke Quad Core, Hexa Core & Octa Core ke bare me batane se pahle mai apko btata hu. Processor Core ke bare me ” Core hi actual Processor hota hai aur yhi apke Mobile ke sare Instruction ko read karta hai aur Instruction ko Execute karta hai.”
Core Basically 3 Phase me kaam karta hai. Sabse pahle Core apke Diye gaye Command ya Instruction ke read karta hai ise Fetch Phase kahte hai. Dusre Phase me Core apke diye gaye Instruction ko “DECODE” karta hai. And last phone me apke Diye gaye Command ko Execute karta hai.
- Fetch Instruction
- Decode Instruction
- Execute Instruction
Quad Core, Hexa Core and Octa Core Processors:
Core ka kam apke Mobile data ko Execute karna hota hai, iska matlab apke Mobile Processor me Jitne jayeda Cores honge apke Smartphone ki performance utna jyada accha hoga.
Example ke taur par agar apke Mobile me 1 Core ka Processor hai. jo ek Second me 1 Instruction ko execute karta hai. Mere pass ek Smartphone hai jisme 2 Core lage hai. Jo ek second me 2 instruction Execute karta hai . isi tarah apke Smartphone ke Processor me Jitne jayade Cores honge apke Phone ka Performance utna accha hoga.
Quad Core Processor:
Agar apke Smartphone me Snapdragon ya MideaTek ka Quad Core Processor lga hai. Iska matlab apke Processor me 4 Cores hai, Jo ek Sath Read Write Operation Perform kar sakte hai.
Quad Core Processor me aap ek sath aur ek Time par bahut se Instruction Execute (Song, Messaging, Recording etc.) kar sakte hai.
Quad Core: 4 Cores
Hexa Core Processor:
Hexa Core ek aur high performance multi Core processor hai jisme apko 6 Cores milte hai. Hexa Core processor ki Data Execution speed Quad Core se lagbhag 50% jyada hota hai.
Hexa Core Processor ko abhi bahut kam Mobile Phone Companiya use karti hai.Kyoki abhi tak kuch Smartphone bane hai jo Hexa Core Processor ko Support karte hai.
Hexa Core: 6 Cores
Octa Core Processor:
apko Quad core me 4 Core milte hai aur Hexa Core me 6 Cores milte hai. isi tarah Octa Core Processor me apko 8 Core milte hai.
Octa Core Processor ka Performance Quad Core processor ke Speed se just Doguna Hota hai. Ab Snapdragon ke jo Modern Octa Core processor aa rhe hai, unme 2 Quad Core processor lage hote hai.
Octa Core Processor abhi tak Mobile phones ke sabse High Performance wala Processor hai. Octa Core Processor abhi sayad 2 ya 3 Mobile Companiya apne Smartphone ke sath de rhi hai.
Read: Intel Vs AMD Computer Processor
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए useful रहा होगा. अगर इस पोस्ट में आपको कोई प्रॉब्लम है या इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार या सुझाव हो तो आप हमें कमेंट करे
धन्यवाद