Hi Dosto !! Whatsapp ne apne Latest Update me Hacking se bachne ke liye ek latest feature add kiya hai jiska naam hai – “ Whatsapp End to End Encryption”. Yah update aaya tha 5 april 2016 ko . Toh agar aapne abhi tk latest whatsapp ko update nahi kya hai toh kar lijiye .
Kyuki Whatsapp ke iss latest update me yah feature add kiya gaya hai ki aap jab bhi apne kisi friends se baat karenge toh aapka chat “Encrypted” hoga . Encrypted ka matlab ki aapke chatting par koi bhi najar nahi rakh payega . Aapka chat sirf wahi padh payega , jisko aapne send kiya hoga . Yaha tak ki whatsapp bhi aapke chat ko nahi read kar payega . Iske liye aapke friends ka bhi Whatsapp updated hona chahiye .
Toh friends security ke mamle me whatsapp ka latest version bahut hi badhiya hai. Ab aap apne whatsapp chat ke hack hone ke dar se bilkul hi befikar rah sakte hain.
Whatsapp Update Karne Ke Baad Ka Layout:
Jab aap apne Whatsapp application ko update kar lenge toh aapke Whatsapp app ka Layout thoda sa change ho jayega . Aur jab kisi aise ko message send karte hain jisne bhi whatsapp ko update kiya hua hai toh aapko ek notification milega ki aapka chat encrypted hai .
“Messages You Send to this chat and calls are now secured with end-to-end encryption . Tap for More Info” .
Toh kuch aisa likh kar aayega aapke friend ke chat layout me . Toh yah jaruri nahi ki aapke sabhi contact me aisa likh kar aayega . Yah unhi contact ke sath kaam karega jinhone apna whatsapp Latest version ko update kiya hua hai . Toh yah whatsapp ka update Sabhi platform ke liye available hai . Chahe wo Symbian ho , Blackberry ho ,iOS ho , Windows ho ya Android ho.
How To Enable Whatsapp End To End Encryption:
Jab Aap apne whatsapp ko update kar lete hain toh aapko secured chat karne ke liye End to End Encryption ko activate krne ke liye verify karna padta hain .
Toh jaise hi aap kisi friend ko koi message type karne jate hain toh aapko ek pop up message dikhega jisme aapko verify karne bola jayega .
Verify par click karte hi aapko ek QR code milega aur usi ke niche kuch numbers show karenge . Sabhi contacts ke liye alag alag show karega.
End To End Encryption Ke Advantages Aur Disadvantages :
Dosto ! iss feature ke security ka fayda hone ke sath sath iska nuksan bhi bahut hai . Agar isko koi criminals use kar rahe hain toh security control nahi ho payega . Aur iska misuse bahut hoga . Lekin agar security purpose se dekha jaye toh yah feature achha hai.
दोस्तों अगर आपको End to End Encryption के बारे में और जानना है तो मैं इसके बारे में अगले पोस्ट में डिटेल से बताऊंगा की End to End एन्क्रिप्शन कैसे काम करता है . उम्मीद है की यह पोस्ट आपको पसंद आई होगी . अगर आपको कोई प्रॉब्लम हो रही है तो आप कमेंट करके बता सकते हैं .