Hello Friends ! Agar aap ek Blogger hai aur Blogging se achhi khasi earning kar rahe hain toh aapko ye toh pata hoga ki Google Adsense se Bank account me paise kaise transfer hota hai ?
Agar aap Youtube par bhi apna account banakar youtube se paise kamana chahte hai toh aap mera yah article padh sakte hain jo aapke liye helpful ho sakta hai .
- > Youtube Video Blogging Se Paise Kaise Kamaye
- > Youtube Par Success Pane Ke Liye Super Tips
- >Youtube Video Optimization: Views Kaise Badhaye
Mai iss post me bataunga ki Google Adsense , Youtube ke liye kaise payment karta hai . Matlab Ki Aapki Youtube Earnings , Google Adsense account me kab jati hai . Jaisa ki aapko pata hoga ki Blogging wal earning daily by daily Adsense account me add ho jati hai . Aur month ke last me total earning adsense me finalized earning ke form me show karti hai . Lekin Youtube wali earning daily by daily update nahi hoti hai .
Youtube Earning Adsense Account Me Kab Transfer Hoti Hai?
Agar aapne kisi month me 50 dollor earn kiye hain toh aapki last month ki earning agle month ke 12-15thtak aapke adsense account me add ho jayegi .
For Example: Aapke March ki Youtube Se Earning 50$ hai toh yah 50$ aapko April ke 12th ke baad aapke adsense account me show karegi . Aur jab aapke Adsense account me 100$ jis month ke 20th ke phle tk puri ho jayegi . aapko Usi month me aapke Bank account me transfer ho jayegi .
Jaise maan lijiye ki aapka 100$ April,12 ko pura ho gya . Toh yah 100$ aapke bank account me april 22-26 tak transfer ho jayegi .
Aur agar aapki earning 100$ puri nahi hoti toh aapko uss month me paise nahi milenge . Iska matlab ab jis month me 100$ pura hoga tabhi aapke bank account me transfer ho payega .
Google Adsense Ki Process:
Jab aapke adsense account me 10$ ho jate hai toh Adsense aapko Address verification ke liye request karta hai . Jisme kabhi kabhi verification pin aapke home address par jata hai . Aur kabhi kabhi 3-4 week ke baad aapko khud hi address ka scan copy adsense account me upload karna padta hai .
Fill Payment Details:
Adsense me sbse important chiz yah hoti hai ki aapne payee name sahi se fill kiya hai ya nahi . Kyuki agar payee name aur account holder name me thodi bhi galti hui toh aapke bank account me paise transfer nahi honge .
Payment details me aapko Account Holder Name , Bank Account Number , Back Ka IFSC code , Back Ka Swift code etc fill karna hota hai .
Swift code ki thodi si problem aa jati hai ki Swift code sabhi Bank ke Branch ke liye available nahi hota hai . Isiliye aapko recommend karta hun ki Aap State Bank of India me hi apna account kholwaye . Kyuki SBI ka swift code easily mil jata hai .
Mujhe bhi apne city ke Bank Ka Swift code lene me thodi dikkat huyi thi . Yaha tak ki Bank ke ek Clerk se meri behes bhi ho gyi thi . Kisi bhi tarah se usko Blogging aur Adsense ke bare me samjhaya aur Swift code liya .
Ye sari detail aapko carefully fill karna hai . Iske baad aapke account me paise google adsense automatic payment transfer ho jayega . Aur yah transfer aapko month ke 22-26 ke bich me aata hai .
तो दोस्तों उम्मीद है की आपको Youtube का पेमेंट cycle आपको समझ में आ गया होगा . अगर आपको Youtubeसे रिलेटेड कोई भी समस्या है तो आप बेहिचक कमेंट करके या ईमेल करके पूछ सकते हैं .
और अगर आपने अभी तक Techyukti ब्लॉग के न्यूज़ लेटर को सब्सक्राइब नहीं किया है तो आप जल्दी से अपना ईमेल address डाल कर सब्सक्राइब कर लीजिये जिससे आपको नये पोस्ट सबसे पहले आपके इनबॉक्स में मिले .