Hi Friends, Aaj hum baat karne wale hai Google YouTube ke naye App YouTube GO ke bare me. YouTube GO me Kuch aise feature hai. Jo Indian YouTuber ke liye ek naya Revolution lane wale hai.
Indian YouTuber ke Liye Ye Revolution kaise ayega mai iske bare me apko ek Example se batata hu. Dosto mai ek Village ka rahne wala hu aur City me rah kar padhai karta hu. Mai TVF (the Viral fever) aur Technical Guruji YouTube channel ka bahut bada Fan hu, Agar mai City me hota hu to in dono channel sare Videos dekhata hu.
But agar mai Village me hota hu to In dono YouTube channel ke Videos nahi dekh pta. Kyoki mere Village me Internet itna Slow chalta hai Ki YouTube ka Koi bhi Video Play nahi hota. Jab kabhi mai City se TVF ke videos Download karke Village me dosto ko dikhata hu. To wo sab mere se iske bare me Poochte hai kha se mila ye Videos, mai unko kahta hu Youtube se.
Jaise mai Kahta hu Youtube se mila mujhe to Unka Muh ban jata hai. Kyoki Village me wo Youtube ka use nahi kar sakte. But dosto jaise hi agle year YouTube GO India me launch hoga. To Socho Mere jaise Kitne log honge aur unke kitne dost honge. Jo Youtube ke har Videos ko Village me aur Slow Internet par bhi bahut araam se Dekh sakte hai.
Agar mai apne hisab se kahu to, mere Village me 50 log aise hai. jinko maine TVF ka Videos Dikhaya hai. And unhe Ye Videos bahut pasand aaye hai. Aise me agar YouTube Slow Internet par bhi acche se chalne lga to mere Village se 50 Youtube Subscriber TVF ko milenge. And India me aise 50,0000 Village aur Honge jaha mere aur mere dost jaise log honge.
Dost agar aap ek Youtuber hai to apke Samajh me aa gya hoga ki YouTube GO se Indian YouTuber me Kya Revolution aane wala hai. To chaliye ab baat karte hai YouTube GO Ke Feature ke bare me.
Related: Top 6 Tips to Get Success On Youtube
YouTube GO Ke Features:
Save Watch Time:
Friends hamare desh me ek mashahur kahawat hai “जैसा देश वैसा भेष”. Ye Line YouTube GO App ke liye perfect hai.
Kyoki YouTube GO me apke Internet Speed ke Hisab se YouTube Video Compress ho jayega. Aur bina Ruke (Without Buffering) sare YouTube Video Acche se Play honge.
Matlab ye agar apke Phone me 4G Internet Speed huaa to apko High Quality YouTube Video dekhane ko milega. Agar apke Phone me 2G Internet Speed huaa to apko thoda Low Quality ke video dekhane ko milenge. But sare Video bina Buffering kiye araam se play hone.
Dekhane aur Download karne Se Pahle Video Ko Preview kare:
Dosto abhi tak YouTuber (YouTube ke liye video banane wale Log) apne Video par tarah-tarah ke attractive thumbnail (image) lagaker hame bewkuf banker views churate the. But ba aisa nahi hoga YouTube GO me aap Video Play karne se pahle uska Preview dekh sakte hai. Preview me apko Video ke ander ke Image dekhye jayenge jisse apko samjh me aa jayega. Ki Us Video ke ander kya hai aur wah kiska video hai.
Example ke taur par Man lijiye apne apne Computer me YouTube ko open kiye aur Dekha ek Video usper ek mast Ladki ka Photo dikh raha hai. And Us Video par Likha hai “India H*t College Girl Dance”. Bus aap Us Video ko Turant Click karke open kar lete hai. But video ke ander kuch aur hi rahta hai. Isse us Youtube Channel wale ko Views mil jata hai but aap Bewkuf ban jate hai.
Video Save karne ke Data Size Choose kare:
Abhi tak apko YouTube ke video ko Offline karne ke liye. Video ke Resolution ( Jaise 720px,1080px ) Choose karne padte the. But YouTube Go me aisa nahi hai, Isme aap apne Video ko Data Size ke Hisab se Offline Save kar sakte hai.
Example kae taur par agar aap TechYukti YouTube Channel se Koi Video Download karte hai. To jaise hi aap Download par click karenge. YouTube GO apse Puchega ki aap kitne MB me Ise video ko Save karna chahte hai. Like 2MB, 5MB, 10MB ya 15MB.
Share Video Without Internet:
YouTube GO ka ye Features sabse mast aur sabse best hai. Kyoki abhi tak aap jo Bhi Video YouTube App me Offline karte the. Un Video ko na aap kahi aur Save kar sakte aur nahi hi Kisi ko share kar sakte the.
But YouTube GO App me aap apne Offline kiye Videos ko apne Friends ya kisi ke sath share kar sakte hai. Wo bhi YouTube Go apke Wifi (Without Internet) ka use karke Video Share karega, Jisme Data sharing Speed kam se kam 50MBps hoga.
YouTube GO App ko Kaise Download Kare:
Friends YouTube GO App abhi India me Launch nahi huaa hai. Ye January me sayad India me Launch ho jayega tab aap ise Download kar sakte hai.
Abhi YouTube GO App Downloading ke Liye Registration ho rha hai. Agar aap Register karte hai to Jaise hi Ye App India me lauch hota hai. Apko sabse pahle pta chalega. Mai apko Registration link bta deta hu jaha se aap Registration kar sakte hai YouTube GO App ke liye.
दोस्तों वैसे भी शहर के लोग अब टीवी कम और YouTube ज्यादा देखते है | जैसे ही YouTube GO App इंडिया में लांच हो जायेगा तो Village के लोग भी टीवी को बहुत ही कम देखंगे | अब हर किसी के जुबान से यही निकलेगा “मज़े उड़ावो डाटा नहीं “|
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा |इस पोस्ट के बारे में अपने विचार और सुझाव हमें कमेंट करे | अगर आप आपके पास कोई YouTube Channel है तो आप इस पोस्ट को जरुर पढ़े |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद्