YouTube Space Mumbai: A best Place to be a Successful YouTuber
YouTube Space Mumbai: A best Place to be a Successful YouTuber.
Hi Dosto !! Bahut dino ke baad kuch personal experience YouTube Space ke bare me share kar rha hu. Aur ummeed hai ki yah article aap logo ko pasand aayega. Kyuki iss post me mai aapko YouTube Space Mumbai ke bare me sabkuch detail se bataunga. Aap iss post me janenge ki YouTube Space Mumbai Kya Hai? YouTube Space Mumbai me Jane ke liye Kya Karna padta hai. Ya fir YouTube Space Mumbai me Kon Kon ja sakta hai. YouTube Space Mumbai se Related agar aapke man me koi bhi sawal hai toh aap iss post ko pura padhiye.
YouTube Space Mumbai Kya Hai?
Sbse phle mai aapko batata hu ki YouTube Space Mumbai Kya Hai? Agar aap YouTube use karte hain toh YouTube ke bare me aapko ache se pata hoga ki YouTube ek aisa platform hai jaha par koi bhi khud se Video Bna kar Upload karta hai aur logo ke sath share karta hai.
Mai YouTube ke bare me jyada nhi bata rha hun. Aapko bss ye bta du ki YouTube ne apne Creators yani jo log Video Banakar Upload karte hain , unke liye pure world me 7 YouTube Space Center open kiya hai. Toh usme se ek YouTube Space Mumbai bhi hai.
Agar aap YouTube Space Mumbai ke Official website par jate hain toh aapko yah jankar Hairani hogi ki YouTube Space India me sirf aur sirf TVF ( The Viral Fever ) aur AIB ( All India Bakchod ) ke wajah se open hua hai.
YouTube Space Mumbai me aapko Workshops/Classes attend karne ko milta hai. Jisme aap bahut kuch sikh sakte hain aur apne Doubts ko dur karke ek Successful YouTuber ban sakte hain.
YouTube Space Mumbai me aap Famous YouTubers se Mil Sakte hain aur unke sath Videos , Collaboration kar sakte hain. Aur unse kuch bhi sikhna hai toh aap sikh sakte hain.
YouTube Space Mumbai Me Mera Safar :
Aapko bata du ki mai iss Blog ke sath sath ek YouTube Channel par bhi kaam karta hun. Mere YouTube Channel Ka Naam hai “Reactions Among People”. Iss channel par mai college ke time se hi Social Problems , Controversy par Logo ka Reactions Shoot karke Upload karta hun.
Fir mai Mumbai me shift ho gya aur yaha se bhi Reactions Videos bana kar upload karne laga aur lagbhg 1 saal me mujhe 1000 Subscribers mile. Aur aapko yah batate huye bhi mujhe bahut khushi ho rhi hai ki 1000 Subscribers ke cross karne ke baad mujhe YouTube Space Mumbai me entry mil gyi.
Aur mai un sabhi Subscribers ko dil se dhanyawaad karna chahuga ki unhone mujhe itna pyar diya. Aur ummeed hai ki aage bhi karte rhenge.
YouTube Space Mumbai me Mera First Workshop:
Jaise hi mere 1000 Subscribers pure huye. Mai jaldi se YouTube Space Mumbai ke Official website se Event list me jakar “Sound Recording” Workshop ke liye signup kiya.
Fir mujhe Sound Recording Workshop karne ka mauka mila aur YouTube Space ke bare me aur jan paya.
Yaha par aapko Talented Mentors ( Guru) se particular subject ke bare me sikhne milta hai. Aur jisse sikhkar aap apne YouTube Channel ko ek alag pehchan de sakte hain.
YouTube Space Mumbai Join Karne ke Fayde:
Dosto ! Agar aap youtube Spcace Mumbai ke advantages ke bare me janne chahte hain toh aapko bata du YouTube Space Mumbai Join karne me aapko sirf fayda hi fayda hi hai.
- Sbse Phle toh yah Free of Cost hai
- Free Workshops /Classes aapko alag alag topic par karne milega
- Dusre YouTube Creators se Milne ka Mauka aur unke sath Collaboration karne ko milega.
- Events aur Party karne ko milega. Jo Aapko badhiya Refreshment bhi dega.
YouTube Space Join Karne ki Minimum Requirements:
Agar aapko YouTube Space Join karna hai toh aapko kuch requirements ko fulfill karna padega.
- Aapke Channel par minimum 1000 Subscribers hone jaruri hain.
- Last 6 Months me koi na koi video upload honi chahiye.
- Koi Copyright claim nhi hona chahiye.
- No Strike on Channel
Toh agar aap upar diye gye points ko follow kar pate hain toh aapka YouTube Spcae Mumbai me welcome hai.
Toh Dosto ! Ummeed hai ki aapko iss post me batayi gyi baate samjh aa gyi hongi. Aur maine jyada detail se nahi bataya. Lekin main sabhi main points ko cover kiya hai. Agar aapko kuch bhi Doubt hai toh aap Comment karke puch sakte hain. Ya fir aap Email/Facebook par message kar sakte hain.