Hi Dosto !! YouTube Video Optimization ka matlab hai ki aap apne youtube videos par adhik se adhik views kaise pa sakte hain . Agar aap ek Youtuber hai toh aap views ke importance ko ache tarike se samjhte honge . Aur agar aap Youtube par new hain toh aapko views aur subscribers ki bhi jarurat hogi .
Isliye iss post me mai aapko bataunga ki aap apne youtube videos par adhik views kaise pa sakte hain . Dosto yah koi magic nahi hain . Lekin mai yah kah sakta hun agar aap mere bataye gaye tips ko try karte hain toh yah kisi magic se bhi kam nahi hai .
Optimization ek aisa series hai jo aapke Videos ko Youtube search me lata hai aur visitors ka uspe dhyan jata hai . isliye mai aapko kuch Optimization tips bata raha hun jo aapke videos par 100% work karega
- Youtube Video Ka Catching Title & Description Kya Daale (Youtube SEO 4)
Tip#1: Best Naming Of Video :
Agar sabse phle tips ki baat kare toh wo hai aapke video ka title . Video ka title sbse important hota hai . Isliye jab bhi aap apne video ko upload kare . Aap yah dhyan me rakhte huye video ka title choose kare ki aapke title se hi pata chal jaye ki iss video me kya hai . Aur viewer usko dekhne ke liye majboor ho jaye.
Kya Title Choose Nahi Kare:
–“iss video ko jarur dekhe aur share kare isme cat dancing hai .”
Kya Title Choose Kare:
–“Amazing Dance By Amazing Cat .”
Tip#2: Tag/ Keyword Kya dale:
Dosto agar aapne apne video ka title choose kar liya hai toh aapne 10% kaam kar liya hai . Iske baad baat aati hai Tags/Keywords ki . Yah bhi bahut important hota hai . Kyuki YouTube search me lane ke liye search engine tags ka hi use karta hai .
Tags/Keywords ko daalne ke liye aap Google Keyword Planner bhi use kar sakte hain . Ya fir aapka video jis topic se related ho bss whi keyword hi apne topic me use karna chahiye . Bina Matlab ke tags ko daalne se search engine bhi confuse ho jata hai ki iss video me kya hai .
Tags ke dwara hi koi viewer hamare video ko search karta hai aur videos ko dekhta hai .
Example ke liye : Agar aapko online kuch order karna hai aur Aap address me likhte ho – Earth , Near Mars , Solar System .
Aap khud hi socho aapka order aapko mil payega ? Nahi na . Isliye Aap wahi address do jaha par aapka order deliver ho paye . Matlab aap samjh chuke honge .
Video me tags whi dale jo video aapka show karta hain . Idhar udhar ke tags na dale . Jisse confusion ho .
- Video Blogging Se Paise Kaise Kamaye?
- Youtube Par Success Kaise Paye ?
Tip#3: Description:
YouTube Videos ko upload karte samay hum ek Description box bhi milta hai . Uss description box me 200-300 words uss video ke bare me likh sakte hai . Description me likhne ka fayda yah hai ki jab koi viewer videos ko search karta hai toh search results me Description ke first paragraph ke sentences dikhte hain . Isse viewer ko video ke bare me kuch idea milta hai aur uss video ko dekhne ke liye click karta hai .
Mera kehne ka matlab yah hai ki aapko agar description box diya gya hai toh iska aap full use Kare . Aur iss description me wahi chiz likhe jo aapne video me present kiya hai .
Tip#4: Thumbnails:-
Thumbnails ke bare me aapko pata hai toh achhi baat hai . Aur pata hone ke baad bhi aap use nhi karte hain ye aur galat baat hai .
Jab hum videos ko upload kar lete hai uske baad video ko play karne se phle jo image dikhayi deta hai usko thumbnail kahte hain . Toh aap sochiye ki agar thumbnail me hi aapke video ke bare me thoda idea lag jaye toh viewer uss video ko jarur dekhega . Isliye aap custom thumbnail attractive design karke set kijiye . Jarur fayda milega . Video shoot karne ke baad aap kuch pictures click kar lijiye jisko aap thumbnail ke liye use kar sako.
Tip#5: Annotations :
Annotations ka use bahut km log hi karte hai . Maximum log videos upload kar dete hai uske baad wait karte hain ki views nahi aa rhe hain . Bss video upload kar dene se views aate toh koi bhi banda video bana kar upload kr dega .
Annotations ka fayda uthane ke liye aap video ke upar text notifications add kar sakte hain . Jaise agar koi video aapne upload kari hai aur usse related koi aur video hai toh aap annotations me uss video ka link dekar aap daal skte hain . Ho sakta hai aapke uss annotations ke wajah se viewer uss video ko bhi dekh le . Annotations ka use aap subscribe karne ke liye bhi kar sakte hain .
Note: Annotations Ko Lagate samay yah dhyan rakhe ki apne video ke upar 1-2 hi annotations lagaye . kuch log puri screen sirf annotations se hi bhar dete hain . Jisse viewer irritate ho jate hain aur channel chhod kar chle jate hain .
दोस्तों इस पोस्ट में इतना ही . आप इन टिप्स को एक बार use करके देखिये . आपको जरुर फायदा मिलेगा . अगर आपको YouTube से related और कोई भी जानकारी चाहिए तो आप कमेंट करके पूछ सकते हैं .