Hi Dosto !! LG ne abhi haal hi me ek bahut hi jabardust phone launch kiya hai . Iss phone ka naam hai LG G5 aur hum yaha par LG G5 specifications, price aur review in Hindi . Ek bahut hi damdaar smartphone hai aaj ke time me . Iss post me mai apni rai batunga ki yah phone kis had tk sahi hai . Aapko lena chahiye ya nahi .
Iss saal LG ne pura dhammal machaya hua hai . Jis tarike se LG ne G5 ko launch kiya hai yah toh TOP par chha jayega . LG ne apne phones ke sath me bahut hi experiments kiye hain .
Iss phone me aapko ekdum unique features milte hain. Toh agar baki company ke phone se compare kare toh iss phone ka competition kar paana bahut hi mushkil hai . Agar sbse phle iss phone ke specification ke bare me baat kare toh wo kuch iss prakar se hai :-
LG G5 Full Specification:
Display:
LG G5 me aapko 5.3 ka Quad HD LCD milta hai . Yah LG ka apna banaya hua screen hai . Bahut hi achhi quality hai iss display ki . Size me 5.3 inch thoda chhota ho skta hai lekin iske pixel per inch ki baat kre toh aapko bahut hi achha experience milega . Aur iss screen ki ek aur khasiyat hai ki yah hamesha on rahega . Isse aapko notifications , time , ya messages dekhne ke liye baar baar lock open nahi karna padega . Aap aise hi dekh skte ho.
Processors:
Dosto agar LG G5 ke processors ki baat kare toh iss phone me Qualcomm Snapdragon 820 laga hua hai . Aur sath me aapko milta hai Adreno 530 ka Mobile Graphic Processor . Jo ek bahut hi achha combination hai aaj tak ka .
Memory:
Iss G5 me RAM ke liye toh aapko bilkul chinta karne ki jarurat nahi hai . Iss phone me aapko milta hai 4GB RAM aur 32 GB internal memory aur sath me aap SD card laga ke storage ko badha sakte hain . Memory ke mamle bhale hi aapko interesting na lage . Lekin aage aap aur features ke bare me janege toh aapko bada hi maza aayega .
Camera:
Camera ke bare me jankar aapko thodi hairani hogi . G5 me front camera ki baat kare toh isme 8 MP ka front camera laga hua hai . Jo ki normal ho skta hai aapke liye . Lekin agar Rear camera ki baat karte hain toh yah bilkul hi Killer combination hai . Aapko 16 MP ka rear camera milta hai wo bhi F/1.8 aperature ka . Jisme auto-focusing bahut hi kamal ke pictures capture karta hai . Lekin dosto iss rear camera ke sath me ek aur 8MP ka ultrawide camera milta hai . Ultra-wide ka matlab ye ki isse aap 135 degree tak ke photos aap le sakte hain . Aur LG ka kehna hai ki aap jitna apne aankho se dekh skte hai utna aap iss phone se click kar skte hain . Toh aap chahe toh inn cameras ko alag alag use kar sakte hain ya dono ka ek sath use karke wide photo click kar sakte hain .
Toh inn sab features ke sath aapko Fingerprint scanner bhi milta hai jo aajkal ke smartphone me bahut hi khas feature hai . Phone ke battery ki baat kare toh 2800 mAh ki battery lagi hui hai . Iss mamle me thoda sa kamjor hai lekin display ke size ke hissab se thik hi hai . Yah battery Removable hai.
Dosto ye toh baat hui iss phone ke normal features ki . Lekin ab baat karte hain iss phone ke khas features ki .
LG G5 me Khas Features:-
#1.Sbse phle feature jo hai wo hai ki iska display hamesa on rhega . Aap soch rhe honge ki agar phone ki display hamesa on rhegi toh battery jyada consume hogi . Lekin aisa nahi hai . LG ne iss phone me Display ke liye 2 processors lagaye hai . Jisme ek puri display ke liye kaam karta hai jab hum phone ko unlock karte hai aur ek jo phone ko lock karne ke baad kaam karta hai . To hiss tarah se battery par jyada effect nahi padta .
#2.LG G5 ka jo dusra feature hai wo hai ki phone ke niche ka part nikal jata hai . Aur issi ke dwara hum battery ko nikalte hai . Matlab yah phone piche se nahi niche se open hota hai .
#3.Iss phone me aapko camera ko operate karne ke liye kuch special tools milte hai jo aapko Digital DSLR camera ki feelings dilwate hai .
#4.LG G5 ke sath me aapko 1200 Mah ki extra battery bhi milti hai .
#5.Iss phone me aapko audio enhance karne ke liye ek accessory milta hai jo ek Hifi audio ka experience deta hai .
#6.LG ne ye bhi announce kiya hai ki iss phone ke jo additional accessories hai unko third party ke company bhi bana skte hain jo kafi interesting ho skta hai .
Dosto overall LG G5 unique features ne sath bahut hi achha phone hai .Aur iss phone lena worth karta hai . Waise yah phone aapko milna start hoga April me toh dekhna yah hai ki yah phone Apple aur Samsung ko kitna competition de pati hai . Lekin features ko dekhte huye hum ye kah skte hai yah phone market me dhamaal machane wala hai .