How To Update MIUI 8 in Xiaomi Redmi Note 3 :-
Hi Friends! Redmi Note 3 Me MIUI 8 Ka Update aa chukka hai. Waise agar aap MIUI ki Website se ROM ko Download karte hain toh wha se downloading kafi slow hai. Mai aapko ek link de rha hu same ROM ki aap befikar hoker download kar sakte hain.
Mujhe pata hai ki aapko bade hi Besabri se intezaar hoga iss nye update ka. Kyu Xiaomi ne MI MAX ke launching ke time hi announce kar diya tha ki MIUI ka update aapko jald hi milega.
Before Updating MIUI8:-
Before Updating MIUI8:-
- Apne phone ko MIUI8 me update karne se phle aapko Backup lena padega. Kyuki install karne ke time me sabhi data delete karne pdenge.
- Phone ko at least 60% tak charge kar lijiye.
How to Update MIUI8 in Redmi Note 3:-
Toh chaliye dekhte hain ki kaise aap apne Redmi Note 3 me MIUI 8 ka update install karenge.
Step#1.Sbse phle aap iss link se MIUI 8 Ka ROM Download kar lijiye. Download complete ho jane ke baad aapko us file ko Phone memory me bahar hi copy karna hai.
Step#2.Ab apne Menu me Tools Folder ke andar jayiye.
Step#3.Updater par click kijiye.
Step#4.Jaise hi Updater open hoga. Aapko batayega ki aapke liye koi update nahi hai. Lekin hum Developer ROM install kar sakte hain. Toh aap right corner me option par click kariye.
Step#5.Ab aapko “Choose Update Package” par click karna hai. Uske baad aapka Root folder open hoga. Jisme aapko downloaded file ko choose karna hai.
Step#6.Iske baad Phone check karega ki kya ye ROM perfect hai ya nahi. Fir aapko erase data ka option show hoga.
Step#7.Ab aapko “Erase and Update” par click karna hai. Ab process chalu ho jayega.
Aapko 8-10 Minutes ka wait karna pad sakta hai. Kyuki install hone me thoda toh time lagta hai.
Jaise hi MiUi 8 Aapke phone me install ho jayegi toh aapka Phone Reboot hoga. Ab aapko Language , Account etc sb select karne pdenge. MIUI 8 me aapko India ke Regional language ka support milta hai. Jo ki bahut hi achhi baat hai.
Toh dosto ! Bade hi aasan se steps me aap apne phone ko MIUI8 me update kar sakte hain. Agar aapko dusre Xiaomi Phones me update install karna hai toh aap unke ROM download karke thik isi tarah se install kar sakte hain.
MI Phones के कुछ Special Updates.
- Xiaomi Redmi Note 4 में Android Nougat कैसे Update करे?
- एंड्राइड फ़ोन से डिलीट फोटो विडियो को कैसे रिकवर करे?
- Android Phone Hardware Software को कैसे Optimize करे?
तो दोस्तों उम्मीद है की यह आर्टिकल आपको हेल्प करेगी. अगर आपको कोई प्रॉब्लम होता है तो आप कमेंट में पूछ सकते हैं.