Aaj ke time me Smartphones , Computer ko bhi fail karke aage nikal rahe hain. Aur yahi nahi bahut se Laptop users ab Smartphones par hi kaam karna pasand kar rhe hain. Iss post me mai aap logo ko Aise Top 5 Smartphones ke bare me bataunga jisme aapko 6GB RAM milegi aur uske sath Powerful Performance bhi.
Aaj ke time me 3-4 GB RAM wala Mobile Phone koi chaukane wali baat nahi rh gyi hai. Abhi haal hi me One Plus 3 , 6 GB RAM ke sath Launch hua hai. Jiske pichle series One Plus1 Aur One Plus 2 apne Performance ke liye kafi Popular ho chuke the.
One Plus 1 aur One Plus 2 ke Powerful Performance ke baad Chinese Smartphone CompanyOnePlus ne One Plus 3 Launch Kiya hai. Jisme aapko sabse attractive feature 6GB RAM milta hai. Aur sath me aapko Bada hi Powerful Processor Qualcomm SnapDragon 820 ke sath Adreno 530 ka GPU milta hai. Jo aapko Gaming, Video Shooting , Movie me ek shaandar aur Jabardust performance dekhne Milega.
Mobile Processors: Qualcomm Snapdragon Processor Vs Mediatek Processor in Hindi
Agar baat kare iske Internal Storage ki toh isme apko 64GB ki high capacity ki Storage milti hai. One Plus 3 me aapko 5.5 inches ki Full HD display ke sath 16MP rear camera aur 8MP Front camera milta hai.
One plus 3 ki Price ki baat kare toh India me iska Price 27,999 INR rakhi gayi hai. Jo ek competitive price range ho sakta hai.
Agar aapko One Plus 3 ke features pasand aaye aur aap isko Online Buy karna chahte hain toh aap Amazon se Book kar sakte hain.
#2. Asus Zenfone 3 Deluxe:
Asus ek jani-mani Company, Jisne Computer Science world me ek shandar Yogdaan diya. Fir uske sath sath Smartphones bhi banane lagi. Jisme hume ek se ek Smartphone dekhne mile. Abhi Haal hi me Asus ne ek bada hi dhansu Smartphone Asus Zenfone 3 Deluxe aur Asus Zenfone 3 Ultra launch kiya hai.
Zenfone 3 Deluxe iska main model hai jisme aapko 5.7 Inch ki Full HD display milti hai. Aur jaisa ki maine phle hi btaya ki isme 6GB ki RAMke saht aapko 64GB/128GB/256GB storage variant ke sath available hai.
Asus Zenfone 3 Deluxe ne bhi Qualcomm Snapdragon 820 ka hi Processor use kiya hai jo performance ke maamle me aapko bilkul Makhhan jaise performance dene wali hai.
Agar aapko Asus Zenfone 3 Deluxe ke features pasand aaye aur aap isko Online Buy karna chahte hain toh aap Amazon se Book kar sakte hain.
#3. LeEco Le Max 2:
New Chinese Smartphone Company LeEco ne ek bahut hi jabardust phone Le Max 2 4GB/32GB aur 6GB/64GB ke Variant me Mobile Market me launch kiya hai.
Le Max 2 ke 6GB version ki kimat 29,999 INR rakhi gayi hai. Isme aapko 5.7 inches ke Full HD screen milti hai. Aur Camera ki baat kare toh isme 21MP ka Rear Camera aur 8MP ka Front Camera Milta hai.
Maine Le Max 2 ke bare me detail se iss post me bataya hai. Aap chahe toh yaha Le Max 2 ke Full Specifications padh sakte hain.
LeEco Le Max 2 Honest Review in Hindi
#4.Lenovo ZUK Z2 Pro:
Lenovo ne ZUK company ke sath milker ek kuch din phle ek shandar Budget phone Lenovo ZUK Z1 launch kiya tha. Aur iska ek dhansu successer Lenovo ZUK Z2 Pro thode adhik features ke sath China me launch kr diya hai.
Lenovo ZUK Z1 Honest Review in Hindi
Iss Lenovo ZUK Z2 Pro me bhi aapko 4GB/64GB aur 6GB/128GB ke 2 variant milta hai. 6GB wale variant ka price 27,600 INR rakha gya hai. Lekin abhi India me launch hone ke date ka koi information nahi hai.
#5. VIVO X Play Elite:
Costly phones me top par aane wali company VIVO ne apna ek dhansu phone VIVO X Play Elite launch kiya hai. Isme bhi aapko 6GB ki RAM hai.
Waise toh ye World ka Phla 6GB wala phone hai. Yah phone Aapko Samsung Galaxy S6 edge ki tarah ka kuch experience deta hai. Kyuki isme bhi aapko 5.4 inch ki Super Amoled Quad HD yani 1440*2560 Pixel) ki display milti hai.
Iss phone ki price dusre phone ke comparison me bahut jyada hai. China market ke according iski price 44,500 INR tak rakhi gayi hai.
Read: Kya Smartphone use Karne se cancer hota hai?
Conclusion:
Top 5 Smartphones ke list me maine RAM aur Processor ke sath sath Price ko dekhte huye series me rakha hai. Aur ye mera personal opinion hai. Agar aapko Gaming, 4K Video, Multi-Tasking ke liye Smartphone chahiye toh ye 5 options aapke paas maujood hain. Lekin uske liye aapko thodi Jeb dhili karni pad sakti hai.
उम्मीद है की यह पोस्ट आपको पसंद आया होगा. अगर कोई सुझाव या सवाल है तो आप मुझे ईमेल या नीचे कमेंट करके बता सकते हैं. और हाँ इस ब्लॉग का न्यूज़ लेटर सब्सक्राइब करना न भूले. जिससे आपको नये पोस्ट आपको इनबॉक्स में सबसे पहले मिल जायेंगे.