Xiaomi Redmi 3S Quick Review in Hindi | Reason To Buy or Not:
Hello Dosto ! Jaisa ki aapko pata hoga ki Chinese Smartphone Company Xiaomi ne apna ek nya Budget Smartphone Redmi 3S India me Launch kar diya hai. Aur Redmi 3S ke aap bahut saare Review bhi dekh chuke honge. Fir bhi aapke man me Doubt hai ki iss phone ko liya jaye ya nahi liya jaye to iss post ko dhyan se padhiye.
Kyuki iss post me mai aapko Quick Reivew aur Kuch aise reasons bataunga jisse aapka Confusion dur ho jayega ki Redmi 3S ko le ya na le.
Aur mai yah post jyada Detail me nahi likh rha hu. Yah post sirf unke liye hai jo fatafat bss ye pata karna chahte hain ki Redmi 3S ko lena Worth karta hai ya nahi. Toh agar aapko Full Specification padhna hai toh aap ye wala post padh sakte hain.
- Redmi 3S Full Specs, Price in India [Hindi]
Aapko yah bhi bata de ki yah Phone 9 August 2016 se Flipkart par milna shuru ho jayega.
Toh chaliye dekhte hain ki wo kya reasons hai ki Redmi 3S ko lena chahiye ya nahi.
Price:-
Kisi bhi phone ko lene se phle hum Price ko hi Compare karte hain. Aur agar hum Redmi 3S ke Price ki baat kare toh iske Phle variant yani 16GB wale phone ka Price 6,999 INR aur 32GB wale variant ki Price 8,999 INR hai.
Toh aapko 6,999 INR wale phone me 2GB ki RAM aur 16GB ki internal Storage milti hai. Afsos ki baat hai ki 6,999 wale phone me Fingerprint scanner nahi milta hai.
Aur jo dusra Variant jisko Redmi 3S Prime kaha ja skta hai. Usme aapko 3GB RAM aur 32GB ki internal Storage mil rhi hai. Aur wo bhi Finger print scanner ke sath me. Toh yah phone Redmi Note 3Ko takkar de sakta hai.
- Redmi Note 3 Honest Review in Hindi
Reason to Buy Redmi 3S:-
Ab baat kar lete hain ki kya iss phone ke lene ke koi reason hai ya nahi lene ke reason hai.
#1. Agar aapka Budget 7000 INR se 8500 tak ke Range ka Phone lena hai to hi iss phone ke bare me soch sakte hain.
#3. Redmi 3S me 4100 mAh ki Battery milti hai jo sbse bada reason hai iss phone ko killer banane me. Aur fast Charging bhi supported hai. Waise aapko fast charger nahi milega iske sath.
#4. Phone ki Build Quality aur Design ek Premium phone ki tarah hai. Iss range ke baki phones ke look se kafi better hai.
#5. Redmi 3S ka Camera performance bhi gajab hai. Isme aapko 13MP aur 5MP ka Camera Combination milta hai. Jo full HD recording support karta hai.
Reason Not to Buy:
#1. RAM Optimization utna badhiya nahi hai. Musti-Tasking me thoda Lag karta hai.
#2. 6,999 INR wale phone me Finger Print nahi hai.
#3. Hybrid Sim Slot Support.
#4. Non-Removable Battery. ( Ye koi Khas Reason nhi hai)
#5. Full HD display nahi hai. Isme aapko 720 Pixels ka hi Display milega.