Hi Friends ! Shayad aapko pata na ho ki Android Phone ko Root karne se hum Android phone ke bahut saare hidden features ko access kar sakte hain. Apne Android Phone ke sath jo chahe wo kar sakte hain. Bahut se Android Users ye sochte hain ki Android Phone ko Root karna bahut time taking process hai. Lekin iss post me main aapko bahut hi easy tarike se root karna bataunga. Aur yaha tak ki aapke phone ke warranty bhi barkarar rhegi. Basically Root karne par hum apne phone ko apne tarike se control kar sakte hain. Jo Chahe wo kar sakte hain.
Maine iss blog par Rooting Se related aur bhi articles likhe hain. Agar aapko Rooting ke bare me Detail se janna hai toh aap inn posts ko follow kar sakte hain. Mai iss post ko aage iss base par likh rha hun ki Aapne ya toh Upar bataye gye links se Rooting ke bare me padh liya hai ya fir aapko Rooting ke Baare me thoda bahut pata hai. Toh chaliye dekhte hain ki Aap Apne Android Phone ko Root Kaise Karenge sirf 30 Sec me.
How to Root Android Phone Without Losing Warranty:-
Aapke Android phone ko root karne ke liye aapko ek app ki jarurat padegi jiska naam hai- iRoot Rooting App. iRoot App Chinese Developers ke dwara develop kiya gya hai jo sabhi tarah ke Android Par work karega. Toh agar aapko Apne Android ko Root karna hai to aage ke steps ko dhyan se padhe-
Sbse phle aap Apne device ko yaha se check kar sakte hain ki aapka Device support karega ya nahi-
Goto This Link:- http://www.iroot.com/devices
Step#1. Sbse phle aap Apne phone me iRoot App download karke install kar lijiye. (Unknown Sources ko Enable Karna Pad sakta hai).
Download From Here
Step#2. Jaise hi aap iRoot app ko open karenge , Aapko ek notification show hota hai ki “Your Phone has no Root Permission”. Aapko “Get Root Access” par tap karna padta hai.
Step#3. Ab aapko Rooting process ke thoda sa wait karna hoga. Aur successful Rooting ke baad aapko notification mil jayega.
Step#4. Fir aapka Phone ek baar reboot hoga. Aur iss tarike se aapka Android Phone Root ho jayega.
Iss tarike se aapka phone 30 seconds ke andar hi warranty ke tension ke bina hi successfully root ho jata hai. Aur iske baad aap apne phone ke root access ke liye permitted ho jate hai. Yani ki aap apne phone ke andar tk pahuch sakte hain. Apne phone me Custom ROM daal kar kar latest android version me update kar sakte hain.