Hi Friends, Agar aap 3D Animation Video Banana chahte hai. As well as 3D Animation Character Design karna chahte hai. Toh aap sahi jagah hai because aaj mai apko jis Trick ke bare me batane wala hu. Us Trick ke use se aap apne Creativity ke hisab se Animation Character Design kar sakte hai. As well as Animation Video bna sakte hai.
Animation Video kaise Banaye:
Dosto abhi tak aap apne Computer par Animation Video Create karte rahe honge. Ya Shayab bahut se log abhi bhi karte honge. But aaj mai apko Android ke ek aise App ke bare me bataunga. Jisse aap Computer jaisa hi 3D animation Video bna sakte hai.
Android Smartphone par Animation Video banane ke Liye Neeche diye gaye Step ko Follow kare.
Step #1:
Sabse pahle apko Google Play Store par jaker “Veemee Avatar” nam ka Android App Download aur Install karna padega. Iske liye apko apne Phone ko Root karne ki jarurat nahi hai.
- Download Veemee Avatar
Step #2:
Ab apko Veemee Avatar Online Animation Creator App me Login hona padega. Login hone ke liye aap Facebook Account ka use kar sakte hai. Google Account ka use kar sakte hai. Ya fir aap Veemee Account bna sakte hai.
Step #3:
Account banane ke bad 3D Animation Video banane ke ready hai. Ab apko Simple neeche diye huye. Kisi bhi 3D Avatar par click karna hai aur usse Select karna hai.
Step #4:
3D Animation Select karne ke bad aap Animation Video ka Background select kar sakte hai. Background ke liye apke pass 2 Option hai.
- Veemee Default background Image- Yaha se aap Veemee Animation App ke dwara diye gaye. Default Background select kar sakte hai.
- Phone Gallery Custom Background- Agar aap Default background ke alawa koi aur background use karna chahte hai. Toh aap aapne phone ke gallery se bhi Background image select kar sakte hai.
Step #5:
Ab aap Image ke side wale option par click karke. Apne 3D Animated Character ko customize kar sakte hai.
- Aap 3D Animation ka Size badha sakte hai. Chota kar sakte hai. Door kar sakte hai. Pass kar sakte hai.
- 3D Animation ka Emotion Set kar sakte hai. Jaise Angry, Happy, Romantic, Action, Normal Etc.
Step #6:
Apka Animation Video ban kar ready hai. Bus apko Sound add karna hai uske bad aap apne Video ko Save kar sakte hai. Sound Add karne ke liye apke pass 2 Option hai.
- Record Sound- Aap Recording Button ko Press karke Sound Record kar sakte hai.
- Add Sound- Agar apne pahle se Koi Sound Record kiya hai. Ya aap apne Animation Video me koi Song Set karna chahte hai. Toh aap apne Phone me Save koi bhi Music apne Animation video me Set kar sakte hai.
Dosto aap is Animation Video Creator app ka use karke. Apne personal use ke liye Animation Video bna sakte hai. Jaise ki Birthday, Anniversary etc. As well as agar aap ek YouTuber hai. Toh aap alag-alag chote-chote Animation Video part banker unko Video Editor se ek sath Merge kar sakte hai. Aur ek Complete YouTube Video bna sakte hai.
But is app me ek Problem hai. Shayad apne Notice kiya ho isme aap keval kuch hi Default 3D Animation Character se Video bna sakte hai. Agar apko Custom Animation Design karna hai. Toh iske liye apko Veemee Animation video ka ek aur App Install karke. Aap apne Hisab se Animation Character Design kar sakte hai.
Custom Animation Character kaise Design Kare:
Friend agar aap apne Animation Video ke liye. Apne hisab (Custom) se Animation Character ko Design karna chahte hai. Toh iske liye aap Neeche diye Step ko Follow karo.
Step #1:
Sabse pahle apko Google Play Store se Veemee ka ek dusra App Install karna hoga. Jiska nam hai “Veemee 3D Avatar Creator” . Isse aap apne Veemee Animation Video ke liye. Apne Hisab se 3D Character Design kar sakte hai.
- Download Veemee 3D Avatar Creator
Step #2:
Ab aap ies App me bhi usi Account se Login kare. Jis Account se apne Veemee Animation Video Creator me Login kiya tha.
Example- Agar apne Veemee Animation video Creator me Facebook se Login kiya tha. Toh aap Veemee 3D Character Creator me bhi Facebook se Login kare.
Step #3:
Ab aap Left Side Uper Corner me diye gay. Slide Button par click kare. Jaise hi aap Slide Button par click karenge. Apke samne Bahut se Option hoker aa jayenge. Usme se aap “Custom” Option par click kar de.
Step #4:
Jaise hi aap Custom option par click karenge. Apke Samne 3 Option Open hoker aayenge usme se apko “Veemee” par click karna hai.
Step #5:
Jaise aap Veemee par click karnege 3d Character customization panel open hoker apke samne aa jayega. Yaha par diye gaye Tool ke use se aap diye gaye Default Animation Character ko apne hisab se customize kar sakte hai.
Agar aap apna face banana chahte hai. Toh aap us character ko Edit karke apne face jaisa bna sakte hai.
Step #6:
Agar aap apne character ka Default Background Set karna chahte hai. Toh aap yaha se Set kar sakte hai.
Step #7:
Jab apko lage apka Animation Character Complete ho gya hai. Toh aap last Icon par click karke. Use apne Veemee Animation Video Creator app me save kar sakte hai. Uske bad aap waha se apne bnaye gaye Animation Character ke sath Video bna sakte hai.
Conclusion:
Dosto aap Veemee Online Animation Video Maker App aur Veemee 3D Character Designer App ke Use se kisi ka Animation Create kar sakte hai. But iske liye apke Pass Drawing Skill honi chahiye. Jisse apko kisi ka Image Dekh kar uske bare me sahi Information mil jaye. Kyoki aap Esi information ke Help se Custom 3D Character Design karte hai. As well as use apne Veemee Animation Video me Add karte hai.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया हो और आपके लिए हेल्पफुल रहा हो | अगर आपको इस पोस्ट में कोई भी प्रॉब्लम हो या आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई भी सुझाव या विचार हो तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग में आने के लिए आपका धन्यवाद