Reliance JIO Sim फ्री में कैसे पाए Kisi Bhi 4G Phone के लिए :-
Hi Friends! Reliance ke 4G Sim JIO ke bare me to aapne suna hi hoga. Aur aapko yah bhi pata hoga ki aapko yah Reliance JIO sim free me lene ke liye ek Phone kharidna pdta hai jiska naam hai LYF.
Related: Bar Code Generate karne ke Liye Update post padhe
Jio Bar Code Generate Karne के लिए Download Kare MyJio Old Version App
Lekin ab iss Reliance ke 4G JIO Sim ko lene ke liye aapko koi LYF ka Phone nahi lena padega. Kyuki aap iss 4G Sim ko Free me pa sakte hain aur agar aapke pass Samsung ke Phone aur Koi bhi 4G Phone hai toh aap iss JIO SIM ko use kar sakte hain.
Waise agar aapko commercially iss Sim ko Kharidna hai toh uske liye aapko thoda wait karna pdega.
Reliance ne yah promise kiya hai ki aapko 3 Month tak free me Unlimited 4G Data aur Unlimited Free Calling all India me aapko milega. Aur iske baad aapko Data Plans ko recharge karne ki jarurat padegi. Jisme aapko voice calling ke liye koi bhi charge nahi chukana hai.
JIO ka Free Sim Kin Kin Phones par Support karega:-
Starting me kaha gya tha ki Yah sim Samsung ke Kuch hi Phones ke liye free hai. Lekin ab kisi bhi 4G phones par iss sim ko le sakte hain. Toh agar aapke pass koi bhi 4G phone hai toh aap aasani se free me JIO sim pa sakte hain.
- Samsung Galaxy A5 (2015,16)
- Samsung Galaxy A7(2015,16)
- Samsung Galaxy A8
- Samsung Galaxy Note 4, Note 5
- Samsung Galaxy Note Edge
- Samsung Galaxy S6
- Samsung Galaxy S6 Series
- Micromax
- Asus
- HTC
- Lenovo
- Vivo
etc sabhi 4G phones
Toh upar diye gaye Phone ke list me agar aapka koi phone aata hai toh aap Relaince ka Jio Sim Free me paa sakte hain.
Toh chaliye dekhte hain ki Kaise aap iss Reliance Jio Sim ko Free me le payenge.
How to Get Reliance Jio Sim For Any Android Phone :
Step#1. Sbse Phle aapko apne Phone se Play Store “My Jio” App install karna padega.
Step#2. Jaise hi aap Application ko Open karenge toh aapko “My Jio” Ke aage Open likha hoga. Uspar click kar lijiye.
Step#3. Iske baad aapko “Get Jio Sim” Par click karna hai.
Step#4. Ab aapko Jio Preview offer ka detail show karega. Aur niche ke side aapko ek option milega. Agree and Get Jio Offer. Aapko iss par click karna hai.
Step#5. Iske baad aapka Area check karega. Agar automatically check nahi ho rha ho toh aap manually Fill kar sakte hain. Agar aapke area me Reliance Digital ka Shop hoga toh aapke liye yah Offer Eligible rhega.
Step#6: Ab jaise hi aap next par click karenge toh aapko 5 Steps dikhega. Fir aapke next par click karenge toh ek Coupon code Generate ho jayega.
Stpe#7. Coupon code ke sath ID Proof, Address Proof , Photo lekar aap Reliance Digital ya Digital Xpress ke Office par jakar Documents ko submit kar dijiye.
Step#8. Uske baad aapko wha kuch form fill karne ke baad Reliance JIO sim Free me mil jayegi. Yani ki aapko kuch bhi pay nahi karna hai.
Step#9. Ab baki ke Sim ko jaise Phone karke Verify kiya jata hai thik usi tarah se aapko bhi Verify karna hai. Yah Kuch 24 se 48 Hours ka time le sakti hai.
Step#10. Ab aapka Jio sim activate ho jane ke baad aapko “My Jio App” me fir se login karke JIO offer ko activate karna hai.
Iske baad aap free me Unlimited 4G use kar sakte hain wo bhi 90 days tak. Uske sath sath free me Unlimited bate bhi kar sakte hain. Pure India me kabhi bhi kahi bhi.
Note: Abhi JIO Preview Offer ki date badha di gayi hai toh aap 31st December 2016 tak iss offer ka fayda utha sakte hain.
Reliance Jio me aapko lagbhag 15 MBPS ki Downloading Speed milegi. Jo aap shayad kbhi itna speed na use kiye ho. Aur yakeen maniye Free me aapko itni Speed mil jayegi toh aap Aasman me udne lagenge.
तो दोस्तों उम्मीद है की आपको फ्री में रिलायंस का जिओ सिम प्राप्त करने की प्रक्रिया समझ आ गयी होगी . फिर अगर कोई दुविधा होती है तो आप बेहिचक पूछ सकते हैं . हमे आपकी मदद करने में ख़ुशी होगी.
और अगर आपको रिलायंस का जिओ सिम फ्री में मिल जाता तो उसके लिए आपको ढेर सारी बधाईयाँ…!!