Reliance Jio Ke Sabhi App ka Use Kaise Kare
Hi Friends, Aaj mai apko Reliance Jio ke sabhi Apps Jaise MyJio App ke bare me bataunga. Kyoki mere bahut se dosto ke pass Reliance Jio SIM hai but wo uska sahi se use nahi kar pa rhe hai. And mere pass Relaince Jio(MyJio) App ko laker bahut se comment aur Question aaye hai. Jisme se kuch common Question hai.
- Reliance Jio ke App ka use kaise karte hai?
- Reliance Jio SIM ka Unlimited Data Plan Kaise Activate kare?.
- Myjio App me SignUP kaise kare?.
Agar apko inme se kisi bhi Question me apko problem hai to aaj mai apko in sabka Solution aur MyJio App ke bare me puri jankari dunga.
Related: How to get Relaince jio SIM
Relaince Jio Ke sare Application:
Jitna Exiting apke ke liye Reliance Jio SIM rha hai utna hi exitment apko Reliance Jio ke App me bhi milega. Reliance Jio App me apko total 13 Application milenge jinka alag-alag kam hoga. To chaliye sabse pahle mai apko Relaince Jio 13 App ke nam bta deta hu.
Related: Apne Number ko Reliance Jio MNP Port kaise Kare
- MyJio
- JioCinema
- JioTV
- JioMusic
- JioMags
- JioXpressNews
- JioChat
- JioDrive
- JioJoin
- JioMoney
- AJio
- JioSecurity
- JioNet
MyJio App:
Ye Reliance Jio ka sabe pahla App hai and sabse pahle apke MyJio App ko hi Google Play Store se Download karna hota hai. Aap MyJio App ka use karke hi Bar Code Generate karte hai, jisse apko Reliance Jio SIM milta hai.
MyJio App Se bar Code Kaise Ganerate kare:
Agar aap ke pass Reliance Jio SIM nahi hai and aap Reliance Jio SIM lena chahte hai to apko sabse pahle MyJio App Download karke “Bar Code” Generate karna hoga iske liye aap neeche diye gaye step ko follow kare.
- MyJio App ke Open kare.
- GET JIO SIM par click karke Bar Code Generate hone tak Wait kare.
- Apka Bar Code Generate ho gaya hai.
- Agar apke MyJio App par GET JIO SIM ka option nahi aata hai to aap “18002002002” par call kare.
MyJio App par SignUp kaise kare:
Agar apke pass Reliance Jio SIM hai aur apka Unlimited data plan activate nahi ho rha hai. To uske liye apko sabse pahle MyJio App par SignUp karna hoga tabhi aapko Unlimited Data Plan activate hoga.
- MyJio App ko Open kare
- SignUp par click kare.
- Ab Aap apne Reliace Jio SIM ka Number aur ek Password enter kar de.
- Ab apka MyJio Account ban gya hai. agar apko Jio SIM ke Unlimited data Activate nahi huaa hai to wo 24 Hour ke ander activate ho jayega.
- MyJio SignUp ka pura process aap Reliance Jio ke Internet se hi kare.
MyJio App Features:
Jio se aap apne SIM ke bare me kuch bhi pta kar sakte hai aur yha se aap apna Plan bhi dekh sakte hai.Mai apko MyJio ke sare feature ke bare me details to nahi bta sakta hu but mai apko iske sare Feature ka nam bta deta hu.
- Setting (Account Manage, Password Change)
- My Plan (Aap Reliance Jio ka kaun sa plan use kar rahai)
- Recharge History
- Recharge Another Number ( Reliance Jio ke alawa kisi aur number par recharge karna)
- Find Relince jio Store aur Reliance Free Hotspot
- Jio Customer Care (Call, message)
JioCinema App:
JipCinema App ka use aap tabhi kar payenge jab apke Phone Reliance Jio SIM lga ho. Isme apko bahut se Hollywood, Bollywood aur South Indian movie milenge. Jise app Online dekh sakte hai. Isme apko karib 10 language ke movie dekhane ko mil jayenge.
- HollyWood (English Movie)
- HollyWood (Hindi DubbedMovie)
- BollyWood Movie
- South India Movie (Tamil+Hindi+Malayalam)
- Marathi Movie
- Gujarati Movie
JioTV App:
JioTV App me apko DTH ke sare Channel milenge. Isme aap Normal aur HD dono tarah ke TV Channel ko dekh sakte hai. Ye App mujh Jio sabse Accha App lga kyoki aap isme sare TV Channel ko Live bhi dekh sakte hai. JioTV me apko lagbhag 500 TV channel dekhane ko mileng. Mai apko Kuch Common channel ke nam bta deta hu.
- Sony All Channel (Normal+HD)
- Colors (Normal+HD)
- Star All Channel (Normal+HD)
- Discovery All Channel (Normal +HD+ Hindi+English)
- LifeOK(Normal+HD)
JioMags Apps:
JioMags me apko Duniye sare Magazine mil jayenge. Isme app Sport Magazine, Bollywood Magazine, Hollywood magazine, Tech Magazine aur bhi bahut se Magazine apko padhane ko mil jate hai. Agar apko Magazine padhane ka sauk ka to isse behter koi aur App apko nahi mil sakta hai.
JioDrive App:
JioDrive App ka use aap Google Drive ki tarah kar sakte hai. Isme aap Photo, Document jaise kisi cheez ko rakh sakte hai. JioDrive ek Cloud Storage App hai jisme apko 5GB free Storage milega. agar aap 5GB ke bad Storage karte hai to apko extra charge pay karna padega.
JioMoney App:
JioMoney ke wallet Application hai Paytm ki tarah but JioMoney ko activate karne ke liye apke pass PAN Card hona chahiye. Jaisa ki aapko Pta hoga Wallet me hum Payemt karte hai Money Store karte hai.
JioJoin App:
JioJoin ka use basically Call karne ke liye kiya jata hai. Ye Reliance Jio ka Call Interface App hai jiske use se Aap Video Call aur Voice Call kar sakte hai. Iske use se Calling Problem bhi toda kam ho rhai hai.
JioNet App:
JioNet App ko Reliance Jio HotSpot ko Connet karne ke liye use kiya jayega. Reliance Jio abhi jaldi ho apne Hotspot pure desh me lga rha hai. Agar apke pass Relaince Jio SIM hai to aap in Hotspot se free me Net ka mza le sakte hai. JioNet ka use karke aap Reliance HotSpot ki Location Find kar sakte hai, jisse apko apke najdiki Hotspot ka pta chal jayega.
JioSecurity App:
JioSecurity ek bahut hi useful App hai. iska use aap Antivirus aur Security dono tarah se kar sakte hai. Iska use aap Online safe Browsing, App Security ke liye bhi kar sakte hai.Isme apko Antithief System bhi hai, Agar apka phone kahi loss ho gya to aap use bhi dudh sakte hai.
मैंने आपको रिलायंस जिओ के सारे useful App के बारे में बता दिया है | ये सारे App आपको ३१ dec २०१६ तक free में use करने को मिलेंगे. उसके बाद अगर आपको इनका use करना है तो पैसे pay करने पड़ेंगे.
उम्मीद है की ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा. अगर इस पोस्ट में आपको कोई प्रॉब्लम है या इसे पोस्ट के बारे में आपके पास कोई सुझाव और विचार है. तो आप हमें कमेंट करे
धन्यवाद्