Hi Dosto ! Kl 27 April Ko Mera Payment Aaya aur uske baad maine jab Adsense Account open kiya toh mujhe Homepage par notification mila ki aap apne website/blog ke liye Page Level Ads ko use karke apne earnings ko increase kar sakte hain . Jo Kuch iss tarah se tha “Introducing Page-Level Ads” .
Toh friends iss post me mai aapko Page –Level Ads ke bare me detail se bataunga . Aur isko Apne mobile site ko monetize karne ke liye kaise set-up karenge .
Waise toh Page-Level ads Google Adsense ne 2015 me hi launch kiya tha . Lekin yah sabhi Adsense Publisher ko allow nahi hota hai . Isiliye iske bare me jyada log nahi jante hain.
Abhi Page-Level Ads BETA testing ke under me hai. Isme ek feature aisa hai ki yah unhi ke Mobile Phone par ads show hogi jinka phone High-End Phone hai aur unko iss ad se koi problem na ho. Toh mere according yah visitor aur publisher ke liye ek achha experience ho skta hai.
Page-Level Ads:
Google Adsense Ke Page Level Ads me aapko 2 tarah ke ads ko lagane ka mauka milta hai.
-Anchor/Overlay Ads
-vignette Ads
Page-Level ads ki sbse khas baat yah hai ki aapke blog par phle se maujood 3 ads ko count nhi karna hai. Aap isko un 3 ads ke sath aasani se use kar sakte hain. Aur yah sirf mobile par hi work karta hai. Aur agar aapke Blog par Sbse jyada traffic Mobile se aa rha hai toh aapki earning Double karne ke liye Google Adsense ka yah new feature kafi hai.
Anchor/Overlay Ads:
Anchor/Overlay Ads wo ads hai jo aapke page ke sabhi links ke upar ek box banker aayega . Aur uspar tap karne par ek Ad show karega . Yah sabhi links ke upar show karta hai, isiliye isko Overlay ads kaha gya hai.
Vignette Ads:
Vignette ads aapke page ke Bottom me show karegi. Jisko Visitor chahe toh hide kar sakta hai aur uspar tap karne ke baad us ads ko dekh satka hai.
Page-Level Ads Ko Kaise Enable Kare?
Ummeed hai ki abhi tak aapko Page-Level ads ke bare me thoda sat oh idea mil hi gya hoga. Chaliye ab jaante hain ki kaise isko enable karenge. Sbse phle toh yah aapke Adsense account ke homepage par hi show karta hai, toh aap waha se bhi ja sakte hain ya fir aap My Ads me jaker left side me Page Level Ads ko select kar sakte hain.
Page Level Ads par click karte hi aapko ek aisa hi layout open milega.
Ab usme aapko 2 tarah ke ad format show karega . 1stAnchor/overlay ads and 2nd Vignette ads . Aapko status wale column se usko enable kar dena hai.
Add The Code in Your Page:
Fir aapko “get Code” par click karna hai . Usme ads ke code dikhenge . Usko copy karne ke baad apne Blog ke theme meke just baad me ya ke just baad me paste kar dena hai.
Test Your ads:
Jab aap apne theme me code ko paste kar lenge toh aap isko apne phone me test kijiye ki kya yah sahi se kaam kar rha hai? . Mobile phone me test karne ke liye aap apne url ke baad “#googleads” add karke enter kar dijiye .
For Example: www.techyukti.com/#googleads
Jab aap yah url enter karenge toh aap page ke upper side me page-level ads show karega . Aap niche image me dekh sakte hain.
Toh friends iss tarike se aap bhi apne Blog/website par Adsense ka page level ads feature ka fayda utha skte hain. Aur apne revenue ko badha sakte hain.
अगर आपको Page Level Ads को लगाने में कोई भी प्रॉब्लम आ रही है या इससे रिलेटेड और कोई जानकारी चाहिए तो आप कमेंट करके बता सकते हैं.