Blog Start Karne Se Liye 10 Jaruri Chize
Hi Dosto ! Aaj iss post me mai aapko apne personal experience aur dusre successful Bloggers ke experience ke according aapko bataunga ki aapko Blogging Start karne se phle at least kya kya chize aapke paas honi chahiye. Aapko ek blog shuru karne ke liye kya kya aana chahiye. Ye sab kuch aapko iss post me detail se bataunga. Aur Mai aapko sure karta hun ki aapko isse jarur fayda milne wala hai.
10 Things need to start a Blog:
Kisi bhi field me success pane ke liye sbse phla kaam hota hai wo hota hai planning. Bina planning ke aap kisi bhi me safal nahi ho skte. Agar aapka luck bahut hi jyada sath deta hai tab kahi aapko success mil skti hai lekin Blogging me toh mushkil hoga success pana bina kisi planning ke.
Toh sbse phli chiz hai Planning:
#1.Planning:
Aapne kahi padha hoga ki
“एक महापुरुष ने कहा था कि अगर उनको किसी वृक्ष को काटने के लिए ६ घंटे दिए जायेंगे तो शुरू के ४ घंटे अपनी कुल्हाड़ी को धार देंगे.”
Dosto iska matlab saaf hai ki kisi bhi field me success pane ke liye hmare hathiyar ko majboot banana padega. Yani ki planning ki jarurat padti hai. Agar hmara plan dhansu hai toh future me success milne ki 99% Guarantee hoti hai.
Ab aap soch rahe hain ki planning me kya karu. Mai aapko batata hu ki planning me aapko kya karna hai.
Bss aap apne aap se yah question kijiye ki Mai Kya karne wala hun, Kyu karne wala hun aur Kaise karne wala hun.
Ye 3 questions ke answers hi aapki planning hai. What, Why & How.
#2. Find Your Interest:
Jo dusri chiz hai wo sbse important hai. Kyuki aapka future issi par based hoga. Aap apne interest ko dekhiye. Aap dinbhar me sbse jyada kaun sa aisa kaam karte hain jisme aapko maza aata hai. Aur aap uss chiz ko Lifetime bhi karoge toh aap bor nahi hoge.
Agar yah chiz abhi smjh nahi aa rhi ho toh aap thodi der baad soch skte hain. Iss post ko padhne ke baad.
Agar aapne apna interest dhoodh liya toh ab aap ye dekhiye ki aap iss interest ko apne strong point ke roop me kaise badlenge.
For example: Mujhe Video Banana, New Phones Ke features ko dekhna, Android Phones ke sath Experiment karna sbse jyada achha lgta hai. Aur iss chiz ko mai lifetime bhi karunga toh mujhe kabhi bhi bor nahi hoga.
Ab maine isko strong point banane ke liye isse related jo bhi updates, New things aate hain unke sath apne aap ko bhi update kar leta hun. Aur fir mujhe inn sab chizo ke bare me detail se pata ho jata hai.
Iss tarike se aap apne interest ko pehchaniye. Bahut logo ko movies dekhna pasand hota hai. Toh wo log movie review kar sakte hain. Trailer Review kar sakte hain.
Kuch logo ko Games khelna pasand hota hai. Iss tarike se wo log best games ka suggestions, Games Review kar sakte hain.
Maine kuch examples diye hai. Iss tarike se aap apne interest ko dhoodh sakte hain. Aur usme aap khud ko strong bana sakte hain.
#3. Decide Your Topic:
Jab aap apne interest ko pehchan jate hain toh aap usme scode ko dekhiye. Kya aap apne interest ko scope bana skte hain. Agar haan toh usko topic wise note kar lijiye aur fir inhi topic par blogging karna shuru kar dijiye.
For Example:
Phone me interest : Agar aapka phone me interest hai toh aap inn topic ko choose kar sakte hain.
*Phones Review & Specifications
*Root
*Custom ROM
*Best Games
*Best Apps
Etc.
Toh dosto issi tarike se aap apne interest ke base par hi topics ka selection kar sakte hain jispar Blogging kiya ja sake.
#4. Check Competition:
Ab aapka topic bhi choose ho gya. Lekin aapko yah bhi toh dekhna hai ki aapne jo topic choose kiya hai, uspar phle se kitne log Blogging kar rhe hain. Kya aap un logo ko suppress kar payenge. Uss topic ka competition check kijiye.
Competition check karne ke liye aap Google Adwords Ke Keyword Planner ka use kar sakte hain.
My Opinion:Dosto ! Bhale hi aapke topic ka competition High ho. Agar aapke andar Talent hai toh aapko bhi Top Par aane se koi nahi rok sakta.
#5. Sustainability:
#5. Sustainability:
Blog ko shuru karne se phle aapko yah dekhna hoga ki aapka blog kitne dino tak tik payega. Kehne ka matlab yah hai ki aap jis bhi topic par blog bnaiye wo topic evergreen topic hona chahiye. Agar evergreen topic nahi hai toh aapka Blog banane ka koi fayda nahi hai.
Isiliye koshish yahi kijiye ki aapka topic long time sustain kar sake.
- Read: Blogging Me Successful Banne Ke Liye 6 Super Tips
#6. Unique Domain According to Your Topic:
Ab baari aati hai Domain lene ki. Domain lene me thodi si hoshiyari dikhane ki jarurat hogi. Aapne apne hisab se stylish domain name choose karne se bachiye. Aap aisa naam choose kijiye jo bilkul hi simple ho aur aapke topic se match karta ho.
Naam jo bhi ho, usko padhte hi yah pata chal jaye ki yah website/blog kis liye hai.
Agar aapko apne naam se famous hona hai toh aap apne name ka bhi Domain name le sakte hain.
*Suggestion: Domain name 2 word se jayda ka naa rakhe toh better hoga.
#7. Platform:
#7. Platform:
Blog banane ke liye ab aapko jarurat padti hai ek badhiya platform ki. Lekin isko select karne se phle aapko money ke bare me bhi sochna padta hai. Agar aapke pass paise ki kami hai toh aap Blogger par shuru kar sakte hain. Lekin jaise hi aapko feel ho ki aap Blogging me progress kar rahe hain toh aap WordPress par move kar lijiye.
Agar aapke pass paise ki dikkat nahi hai toh aap ek badhiya sa hosting plan choose karke WordPress par ek bahut hi ache look wala Blog bana sakte hain.
Blogger aur WordPress ke alawa aap kisi dusre platform par blog mat banaiye.
#8. Responsive Template:
Blog banane ke baad ek badhiya navigation ke liye aapko ek Template ki jarurat padegi. Iske liye aap Responsive aur fast loading template hi apne blog me lagaye. Responsive ka matlab ki aapka blog par mobile par mobile view me open hoga.
Agar aap paid template afford nahi kar sakte toh aap free ke templates bhi laga sakte hai. Free me premium templates aapko Goyyabites par mil jayenge.
#9. Basic HTML Knowledge:
#9. Basic HTML Knowledge:
Waise toh Blogging me coding ki jyada jarurat nahi pdti. Lekin aapko menu,pages etc set karne ke liye thodi HTML aani chahiye. Agar aapko HTML nahi aati toh aap apne friend ya fir online hi Free me HTML sikh sakte hain.
- Read: Youtube Par Subscribers Aur Views Kaise Badhaye?
Aur agar aapko HTML me problem aa rahi ho toh aap kisi aise friend ki help lijiye jisko HTML aati ho.
#10. Social Media Profile:
Jaise hi aapka Blog setup ho jaye. Ab aapko jarurat padti hai Social media Profiles ki. Aap major social media sites par apne Blog ke liye pages create kar lijiye aur uska link apne blog par de dijiye. Aapko iska benefit starting me toh dekhne nahi milega. Lekin jaise jaise aapko Blogging me time hota jayega. Aapko iska fayada najar aane lagega.
Aap Google Plus, Facebook, Twitter, Scoop it, Pinterest, Instagram, Stumbleupon par pages bana sakte hai. Aur sath me jab bhi koi post publish kare toh sabhi pages par jarur share kare.
दोस्तों उम्मीद है की इस पोस्ट से आपको जरुर मदद मिलेगी. और अगर आपको ब्लॉग्गिंग से रिलेटेड कोई भी जानकारी चाहिए तो आप बेहिचक कमेंट करके पूछ सकते हैं. आप फेसबुक पेज पर भी मेसेज कर सकते हैं.
और हाँ दोस्तों आप लोगो ने अगर इस ब्लॉग का न्यूज़ लेटर सब्सक्राइब नहीं किया है तो अपना ईमेल एड्रेस डाल कर जरुर सब्सक्राइब कर लीजिये. जिससे आपको नये पोस्ट आपके ईमेल इनबॉक्स में मिल जायेंगे.