Hi Dosto !! Kya aap free ke templates use karte hain ? Agar aap free ke templates use karte hain toh aapke blog ke footer me template designer ka naam jarur aata hoga . Aur aapne isko hatane ki koshish bhi kiya hoga . Lekin jaise hi aap footer se credit link remove karte hain aapka blogredirect hoker template designer ke website par chala jata hai .
Iss post me mai aapko bataunga ki kaise aap apne footer se designer ka naam hide karenge . Bahut hi simple kuch steps hain jiske through aap apne templates se footer credit ko remove kar sakte hain.
Footer Se Designer Ka Credit Link Kaise Hataye
Step 1:- Sbse phle aap Blogger ke Dashboard Me Jaye .
Step 2: Fir aap options me “Template “ par click kare .
Step 3: Fir ek page khulega jisme aapko “Edit HTML “ ka option show karega . Ab aap “ Edit HTML “ par click kare.
Step 4:- Iss step ko follow karne me aapko thoda time lag skta hai .Iske liye aap niche diye gaye image ki help se footer wale coding par ja skte hai .
Step 5:- Aapko Footer me credit ka link dikh raha hoga jaisa image me dikh raha hai ,For example – Designed By , Template By etc.
Step 6. Ab aapko karna yah hai ki aapko ek code add krna hai “id” ke baad . wah code hai style =”visibility:hidden” . Aap dikhaye gaye image ki help le skte hai .
Step 7. Bss ab aap save button pr click kar dijiye . Ab aap apna blog open krke dekh skte hai . Aapke Blog se Footer Credit Remove Ho chukka hai .
Desclaimer: Aapko Footer credit remove karte samay yah dhyan rkhna hai ki aapne dusre code ke sath toh Chedchad nahi kiya hai na.. Agar aap aisa karte hai toh aapka template save nahi hoga fir aapko restore karne me problem aa skta hai .
Toh agar aapko Footer Credit se link remove karne me koi bhi Problem aaye toh niche comment box me apne problem ko share kijiye . Mai jald se jald aapke problem ko dur karne ki koshish karunga . Aur hai iss article ko apne blogger Friends ke sath kijiye jo abhi Blogging ke Field me naye hai .Aur kabhi aapko bhi unke help ki jarurat pad sakti hai .
दोस्तों अगर आपको ब्लॉग्गिंग से related और कोई जानकरी चाहिए जो इस ब्लॉग पर उपलब्ध नहीं है तो आप कमेंट सेक्शन में अपनी प्रॉब्लम को बता सकते हैं .