Hi Dosto ! Jaisa ki hum sabhi ko pata hai ki Google Adsense sabhi ad network me se sbse best ad network hai . Aur bahut se log Google Adsense se achhi khasi income bhi kar rahe hain . Mai iss post me bataunga ki Google Adsense se first time payment kaise hoti hai. India me first time payment paane ke liye kya kya karna pdta hai.
Iss post me mai aaj apni personal experience bhi share karunga jo thoda sa funny bhi ho sakta hai. Aur mujhe ummeed hai ki aap iss post ko pura padhenge.
Google adsense aaj ke time me aisa topic hai ki agar koi banda Google Adsense ke bare me detail se janta hai toh wo isi topic par Blog bana kar Lakho kama sakta hai. Kyuki Google Adsense Ko Sign Up karne se lekar , Blog ko Approval karane se lekar, First payment tak itni problems aati hai ki unka detail se solution internet par bhi majood nahi hai.
Google Adsense aur First Payment:
#Stage 1: Adsense Approval 💰
Dosto ! aajkal daily hajaro Blogs bn rhe hain aur sbka phla sapna hota hai Adsesne Approval. Aur jab adsense se approval mil jati hai toh mano koi lottery lag jati hai. Aur fir iske baad jo josh aata hai Blogging karne ka wo pucho hi mat. Fir puri mehnat ke sath din raat ek karke Blog post ke bare me sochna chalu kar dete hain. Kyuki unhe har haal me $10 pura karna hota hai. Aisa isliye ki Google adsense ka jo Address verification ka threshold hota hai wo hai $10. Kuch log to $10 ke chakkar me invalid clicks kar dete hain ya dosto se karwa dete hain . Jiske chakkar me adsense account fir sapna ho jata hai. 😂😂
#Stage 2: Address Verification 🏣
Jab kisi bhi tarah se $10 pure ho jate hain . Toh ab hum ye sochte hain ki Google hmare ghar par PIN bhejega . Aur jaldi se account me PIN daalkar apna adsense verify kar de. Lekin shayad hi Google se INDIA me kon PIN aata hai. At last 4 week ke baad Goolge Adsense ek option provide karta hai ki aap kisi bhi address proof ko scan karke submit kar do. Fir aapka address verify ho jata hai.
#Stage 3: Payment Details 💳💵
Jaise hi Adsense account me $10 pure hote hain tab Adsense Payment details fill karna Allow kar deta hai. Aur hum usme apna Bank details jaise account number , Swift code, IFS code etc fill karte hain. Maano jaise payment bss aane hi wali ho.
Mai jab apne Bank ka Swift code lene Branch par pahucha toh ek tragedy ho gyi. Maine bola- Excuse me sir , Mujhe Iss bank ka Swift code chahiye. Saamne Clerk baitha hua tha . Wo mahashay kuch bol hi nahi rhe. Maine 2-3 baar bola toh unhone dusre clerk ke taraf ungli dikha di. Ab fir maine dusre clerk se bola ki mujhe swift code chahiye , America se paisa Magana hai. Wo meri mauj lene laga . Bolne laga bhai mere bhi 1000$ fase hain abhi tak nahi aayi. 😎
Fir kisi bhi tarike se maine swift code liya aur apne payment details ko fill kiya.😵
#Stage 4:Waiting for $100: 💹💵
Jaise taise karke jab hum payment details ko fill kar dete hain toh ab bss intezaar rhta hai toh wo ki jaldi se $100 pure ho jaye. Waise main sabhi Bloggers ki baat nahi kar rha hun . Kuch bloggers hain ki unke first month me hi 400-500 $ ho jate hain . Toh unko intezaar nahi karna padta hoga. Lekin Mai khud ki bata du ki mujhe 3 month wait karne pade. Sirf 100 dollar ke chakkar me . Aankhe taras gayi thi inn $100 ke chakkar me .😶
“100 Dollar ki Keemat tum kya jaano Professional Bloggers, Yah har new Blogger ka Khwab hota hai” . 😍
#Stage5: Waiting For 22ndof Next Month 📆
Jab finalized earnings me 100$ ya usse jyada show karta hai toh bss 22nd ka intezzar rhta hain. Ki jaldi se Google Adsense back account me transfer kar de. Fir 21st ki raat ko ek mail aata hain ki aapka payment transfer ho chukka hai. Aane wale 5 Business days me agar aapke paise nahi milte hain toh aapko bank par contact karna hoga.😇
Le ho gyi ek aur tragedy . Maine 24 april tak wait kiya . Mere account me abhi tak paise nahi aaye the. Aur 24thtak main kam se kam 24 baar toh ATM ka chakkar laga chukka tha. Fir maine Bank ke Customer Care Executive ko call kiya aur iske bare me pucha toh unhone bola aisi koi information nahi hai aap bank ke usi branch par contact karo.
Fir maine Bank Manager ko call kiya. Maine call isliye kiya ki mai Out of station tha . Lekin uss khusat buddhe manager ko kaha pta thi. Jab maine usko call kari toh usne bola Branch par aayiye. Ab mera para 100 paar. Had ho gyi yaar..😎
#Final Stage: Got my First Payment On 27th April:👹👹
Mai nirash ho gya tha. Mere bhai sahab ne bola padhai par dhyan do aur Blogging wlogging chod do. Maine mere purane Blogger friends se puchha . Bhai meri payment kaise aayegi. Toh ek ne bola bhai 5 din me aa jayegi . Maine bola 5 din bhi aaj ho gye. Fir ek ne bola ab toh tujhe Branch par jaana hi padega. Kyuki mai bhi first time branch par hi gya tha . Tabhi mere paise aaye the.
Ab mai puri taiyari me tha ki College chod kar Gaaw aau aur Branch par pta karu. Jaise hi mai apna bag pack karke nikalne hi wala tha ki Mere phone me message aaya aur wo message iss screen shot me aap khud hi dekh lo.👇
Iss message ke baad jo feeling thi wo mai hi janta hu. Aur wo new bloggers jo ya toh abhi wait kar rhe hain ya fir first payment unko mil gayi hogi.💪👈
Finally mai yahi kahunga ki aap aise Bank ka detail de jo India ki Top ki bank ho aur unka Len-Den Internationally hota ho. Mai aapko suggest karunga SBI , CANARA Bank . Mera Canara Bank Hi Hai. J
Aur sabhi details dhyan se fill kare. SWIFT code bhi ache se check karke hi fill kijiye.
उम्मीद है दोस्तों यह पोस्ट आपको अच्छी लगी होगी . आप कमेंट में जरुर बताये. और अगर आपको Adsense से रिलेटेड कोई भी प्रॉब्लम है तो आप मुझसे पूछ सकते हैं . मुझे ख़ुशी होगी आपकी मदद करने में.
All the Best…!👍
Hello Satish sir, your content is really helpful, i’m a guy from middle class family, I live in a rented house with my family, i am thinking of starting a blog from Hostinger using your Coupon Code: SATISHK, I have done B.C.A and completed Hardware & Networking Course. Will i be able to Suceed. Please Guide I have seen all of your YouTube videos of Blogging.