Hi Friends, Kya aap Web Designing aur Web Development Learn karna chahte hai?. Kya aap Web Development ka Online Course Karna chahte hai?. Agar ha toh aap sahi jagah hai kyoki aaj mai apko ek aise Online Tool ke bare me bataunga. Jisse aap Online Web Designing aur Web Development Programming Learn kar sakte hai.
Agar aap ek Blogger hai toh ye Post apke Liye Must hai. As well as agar aap Web Designing me Interested hai aur aage aap apne Blog ya Website banana chahte hai. Toh aap online web Design Classes ke bare me jarur padhe. Toh chaliye aaj mai apko Web Designing , Web Development aur Programming ke bare me details me batatu. Aur mai apko kuch aise Online Web Tool ke bare me bataunga. Jaha se aap bina kisi ke Help ke bahut araam se Web Designing , Web Development learn kar sakte hai. As well as apna khud ka Website bna sakte hai.
What is Web Designing & Web Development ?.
Friends basically Web Designing, Web Development ka ek branch hai. Aur web design ka use website ke Style, web Graphics as well as User Interface (UI) ko attractive Design ke liye use kiya jata hai.
For Example- CSS (Cascading Style Sheets) ka use Keval Web Designing ke liye hota hai.
Web Development me 2 part me work hota hai. Front End aur Back End. Web Development Front End me basically Web Designing, Graphics, UI , Alignment , Style ka Work hota hai. As well as Web Development Back End me Database Management aur Networking ka Work hota hai.
For Example- Internet par Running koi bhi Website ek Complete Web Development ka sabse best Example hai. Aur Complete Web Development ke liye sabse jayda aaj kal PHP Web Development Language ka use kiya jata hai.
How to Learn Web Designing & Web Development:
Friends agar aap Web Designing learn karna chahte hai. Toh iske liye apko Computer Science & Engineering me lakho rupaye kharch karne ke jarurat nahi hai. Aur na hi kisi Web Development Institute me kharch karne ki jaurat hai. Web Development Learn karne ke liye apke ander bus apke pass Internet hona chahiye.
Internet se aap Complete Web Development Course Learn kar sakte hai. Aur Facebook, Twitter Jaise aap apna khud ka Website bana sakte hai. Aur agar aap chahe toh apne website ko FileZilla Server Dwara Internet par Host kar sakte hai.
Agar aap ek blogger hai. Toh aap apne Blog ke liye Custom Template ban sakte hai. Aur apne template apne Hisab se set kar sakte hai.
W3school : Worlds largest Online Web Development School:
W3School.com duniya ka sabse large Online Web Development & Web Design Course karne wala Website hai. W3School par aap Web Development se related kisi bhi Language ke bare me Learn kar sakte hai. W3School kar sabse khas baat hai ki agar aap Web Development ke bare me kuch bhi nahi pta. Tab bhi aap bahut araam se Learn kar sakte hai.e]
W3School par Kaun-Kaun se Web Designing & Web Development Laguage Learn kar sakte hai:
Wiase toh aap W3school.com se kise bhi Web Designing aur Web Development language ke bare me learn kar sakte hai. But mai apko W3school ke kuch Popular language ke bare me bata deta hu.
#1 HTML & CSS:
- HTML (All Version)
- CSS
- W3.CSS
- BootStrap
- Icon Designing
- Web Graphics Designing
#2 Java Script:
- JavaScript
- jQuery
- jQuery For Mobile
- AppML
- Angular JS
- JSON
- Ajax
#3 Server Side:
- PHP
- SQL
- ASP
Uper diye gaye Jitne bhi Web Designing aur Web Development Language hai. Aap unke bare me W3School me Pura detail se Learn kar sate hai.
For Example- Suppose aap pahli bar Web Designing Learn karne ja rahe hai W3School se. But Isse pahle apne kabhi Web Designing ke kisi bhi language ko use nahi kiya hai. Toh aap sabse pahle HTML Learn karenge. Kyoki HTML Web Designing aur Web Development ka base hai.
Read:
Note: Browser (Chrome, Edge, Safari , Firefox ) Keval HTML Language ko Support karte hai. Aise me agar apko HTML nahi aata hai. Toh aap koi bhi Web Development Language Learn kar lo sab fail hai. Isliye jab aap Web Designing ya Web Development ke bare me Learn kare. Toh sabse pahle aap HTML Language ko Learn kare.
Mai apko W3School se HTML Learning ke Kuch Basic Step ke bare me bata deta hu. Jisse apko Learn karne me asaani ho.
Step #1: Sabse pahle aap apne Browser me www.w3school.com website ko open kare . Aur open karne ke bad aap “Learn HTML” par click kare.
Step #2: Jaise hi aap Learn HTML par click karenge. Apke samne Complete HTML Course Open hoker aa jayega. Jaise HTML Introduction me apko HTML ke bare me janakri milega aur uske Programming Structure ke bare me jankari milega.
Step #3: Aage jaise-jaise aap NEXT option par click karte jayenge. Apko HTML ke bare ek-ek Tool (Tag, Table, Element etc) ke bare me jankari milta jayega. As well as W3School par apko Online Tool milta hai. Jis par aap Learn Kiye gaye Code ko Online RUN kar sakte hai.
Conclusion:
Friends agar aap Web Designing aur Web Development Learn karna chahte hai. Toh Online Course ke liye W3School sabse best Online Collage hai. Jiske help se aap Pura Web Development Learn kar sakte hai. As well as aap khud ka Website bana sakte hai.
Web Designing Learn karne me bus apko Starting me thoda dhyan lgana padega. Bad me ye apko Itna Interesting lagne laga ki aap hamesha Web Design karne ke bare me hi sochenge.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई भी प्रॉब्लम या अगर आपके पास इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई भी विचार या सुझाव है तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिये आपका धन्यवाद