Hi Friends, Kya apko UPI (Unified Payment Interface ) ke bare me pta hai?. Shayad iske bare me bahut kam logo ko pta hai. But Jinko UPI ke bare me pta hai. Wo iska Pura fayada Utha rahe hai. Agar aap bhi UPI App Transaction ka fayada uthana chahate hai. Toh aap sahi jagah hai kyoki aaj mai apko bataunga. Ki aap kaise Unified Payment Interface (UPI) ka Use karke. Online Payment, Cashless Transaction, Send Money, Receive Money Jaise Service ka Use kar sakte hai.
Financial Ministry Of India ne dekha ki 500 aur 1000 note ban ho jane ke karan. Sabhi log bahut Prashan hai. Toh unhone ke ek yojna banaya ki agar Bank se Cashless Transaction karne walo ki bheed kam ho jaye. Toh logo ko thoda araam milega. Isliye Financial Ministry of India ke Order se sabhi Bank ne apna ka UPI App banaya hai. Jisse aap Play Store, itune se Download kar sakte hai. Financial Ministry ke anushar aap UPI Service ka Use karke. Sabhi Banko ke sath Cashless Transaction kar sakte hai. Toh chaliye Dekhate hai UPI Actually hai Kya aur UPI ka use kaise Karenge.
Unified Payment Interface (UPI) ?.
Friends Unified Payment Interface (UPI) ek Multi banking Payment System hai. UPI ka Use Basically Cashless Transaction ke liye hota hai. Jaise ki Fund transfer, Online Transaction, Send Money between Bank Accounts, Receive Money. Online Shopping Payment, Online electrics Bills, Water Bills, House rent Payment, Trust Donate, Etc.
Pahle aap UPI Service ka use keval Net Banking ke dwara hi kar pate the. But 500 aur 1000 Ban hone ke karan. Sabhi Bank ne apna-apna UPI App launch kiya hai. Is Sabhi UPI App ka use aap Online Transaction ke liye kar sakte hai. Agar apke Account me Net Banking ki subidha nahi hai. Tab bhi aap UPI ke jariye Online paise Send, Receive, kar sakte hai.
For Example- Agar apke paas Union Bank of India ka Account hai. Toh aap Google Play Store se Union Bank UPI App Download kar sakte hai. Aur Uska Use Online Transaction ke liye kar sakte hai.
Agar apko apne kisi bhi Bank ke Account (PNB,SBI,ICICI, HDFC, Canera, Central etc) ke liye. UPI App Download kar sakte hai.
- SBI (State bank of India)
- Union Bank
- Axis Bank
- ICICI Bank
- Panjab Nation Bank (PNB)
- Canara Bank
- United Bank of India (UBI)
- Bank of Maharashtra
- Vijya Bank
- Andhra Bank
- UCO Bank
- Oriental Bank Of Commerce
- IDBI Bank
- HDFC Bank
- Kotak Mahindra Bank
UPI App (Unified payment Interface) Ka Use kaise Kare:
Dosto agar aap UPI App ka Use karke Online Transaction karna chahte ho. Toh iske liye apko Bank jane ya Bank se Verify karne ki jarurat nahi hai. Bus aap Simple Is App ko apne Smartphone me Download kijiye. Aur UPI App me diye gaye Nirdesh ka palan karke. Aap UPI App se Online Transaction Send Money, receive Money, fund Transfer, Donate, Loan ,EMI, Bill, Insurance Policy Payment kar sakte hai.
Toh Chaliye mai apko UPI App Use karne ke bare me kuch Important Step bata deta hu. Jo apke Liye bahut Helpful honge UPI App use karne ke liye.
#UPI App Me Register Kaise kare:
Jab aap apne Bank ka UPI App Download kar lenge. Toh apko UPI App me sabse pahla Kam karna hai. UPI App me Register hona. Iske liye aap neeche diye gaye Step ko Follow kare.
Step #1: Create UPI Profile
Note- Mobile Number Select Karte Samaya ye dhyan rakhe. Aap usi Number se Register kare. Jo Mobile Number apke Bank Account me Feed hai.
- Apne Smartphone me UPI App Install karne ke bad. Jaise hi aap UPI App ko Open karenge. Ye Apse puchega ki aap apne Phone se Kis SIM ko Register karna chahte hai. Aap jis SIM Number Slot ko Select kar denge. Wo Mobile Number apke Bank ke sath Register ho jayega. (For Example- SIM 1 or SIM 2)
- Ab apne UPI me jo SIM Select kiya hai. Usper ek Verification SMS jayega. But Ye message tabhi Send hoga. Jab apke SIM me Balance rahega.
- Jab apke Phone Number Ka Verification Successful ho jayega. Tab apka UPI Profile Create ho jayega. Isse karne me apko jayada se jayda 2 Minute ka time lagega.
Step #2: Add Bank Account Details:
- UPI Profile Create ho jane ke bad aap “Add Account” Option me jaye.
- Ab aap yaha se Bank ka Name Select kare (For Example- Union Bank). But aap jo Bank Select kar rahe hai. Uske Account se apka Mobile Number Register Hona chahiye. Tabhi Account Add hoga.
- Account Select karne ke bad aap. wapas Main Menu me aa jaye aur yaha se “Create Virtual ID” par jaye. Aur apne Account ka ek Virtual Id Create kare.
Step #3: Set PIN:
Account ko Select karne ke bad ab apko need hoga. Account par PIN Set karne ka.( For Example-agar apne 4 Account Add kiye hai . toh apko charo account ke liye 4 PIN Set karna hoga).
Ab aap Set PIN/Set MPIN option me jaye aur waha se Us Account ko Select kare. Jisme PIN Set karna hai. (For Example- agar apne ek Bank Account Add kiya hai. Toh PIN Set karne ke liye apke pass ek Option hoga. Agar 4 Account Add kiya hai toh apke PIN Set karne ke liye 4 Option hoga).
- Jaise hi aap Account par PIN Set karne ke liye Click karenge. Apke Number par ek OTP Code send hoga. Jise apko yaha enter karna hoga.
- Ab aap yaha se PIN Set kare aur Confirm Set PIN kare.
- Aap apne “Debit Card” ka Last 6 Digit Enter kare. Aur apne Card ka “Expiry Date” Enter Kare.
- Ab Agar Successful Verification ho gaya toh apko “PIN Created Successfully” ka Message Mil jayega.
#UPI App se Online Transaction Kaise kare:
Friends agar aapko UPI App ka use karke Transaction karna hai. Jaise ki Kisi ko Paise transfer karna ya kahi se Paise Collect karna hai. Toh aap neeche diye gaye 2 Step ka use karke Money Send kar sakte hai.
Step #1: How to Send Online Money:
- Money Send karne ke liye aap “Pay” option me jaye aur waha se apne Account Select kare.
- Ab aap Jisko Money Send karna chahte hai. Uska Account Select kare. Aur Sare Details ko fill kare. (Virtual Account name, Number, Amount, VPA )
- Apna PIN Number enter karke. Input Details ko Verify kare. Aur Send kare.
- Ab aap apne Transaction ka Status Check kare “Tnx Status” me jaker.
Kya UPI Hack ho sakta hai| Ya nahi ho sakta hai. Iske bare me video Dekhe
Conclusion:
Dosto agar aap Cashless Secure Transaction karna chahte hai. Toh apke liye UPI App Sabse best Option hai. Kyoki isme aapko real account use nahi karna padta. UPI App me aap apne Real Account se ek Virtual ID Create karte hai. Aur aap Usi ID ka Use karke transaction karte hai. Jiske wajah se apka Account 100% Secure rahata hai.
Waise bhi agar apko UPI App Use karne me Problem ho raha hai. Toh aap apne Bank ke Helpline Number par call karke. Iske bare me janakri hasil kar sakte hai.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और अपके लिए हेल्पफुल रहा होगा | अगर आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई भी सुझाव या विचार है | तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद