Android Phone Ko Bootable Kaise Banaye?
Hi Friends, Kya apko Pta hai Android Phone ko Bootable kaise bnaya jata hai?. Agar pta hai toh apke liye acchi baat hai. But agar apko Android Phone ko Bootable banane nahi aata hai. Toh apko Preshan hone ki jarurat nahi hai. Kyoki aaj mai apko bataunga ki aap kaise apne Android Phone ko Bootable bna sakte hai.
Abhi Tak aap log PC me Windows Install karne ke CDs as well as Pendrive ka use karne the. But aaj mai apko jo Trick batane wala hu. Usse aap apne Android Phone ko Bootable bna sakte hai. Aur apne PC me Windows Install kar sakte hai.
Example ke taur par – Aaj kal waise bhi kisi ke pass CD to hota nahi hai. But shayad USB Pendrive sabhi ke pass hota hai. Suppose apke pass ke PC aur ek Android Phone hai. And aap apne PC me Windows, Linux ya koi bhi OS Install karna hai. But apke pass USB Pendrive nahi hai. Toh aap Kaise Windows Install karenge apne PC me. Agar apko Android Phone ke Trick ke bare me jankari hai. Toh apke liye Windows Install karne 10 Minute ka kam hai.
Android Bootable USB Drive Banane Ke Liye Requirement:
Friends agar apko apne Android Phone ko Bootable USB Drive banana hai. Toh kuch Tools and app hai jo apke Mobile aur PC me hona chahiye. Agar inme se Koi bhi App apke pass nahi hai. Toh aap Android Phone ko ya to Bootable nahi ban sakte. Ya fir aap agar Android Phone ko Bootable bna liye to PC me Install nahi kar sakte. Toh Chaliye dekhate hai. Android Phone ko USB Bootable Drive banane ke Liye Kya-kya Requirement hai.
Sabse pahale to apka Android Phone Rooted hona chahiye. Agar aapka phone Rooted nahi aur aap apne Phone KO Root karna chahte hai. Toh aap neeche diye gaye Link par Rooting ke bare me jankari le sakte hai. As well as apne Phone araam se Root kar sakte hai.
Apke Laptop ya Desktop me “Rufus Software” Install hona chahiye. Rufus Software ka Use ISO File banane ke liye kiya jata. Yah ISO File banane ke liye bahut Popular Software hai. Kyoki Rufus apko Free me milta hai.
- Jis Android Phone ko aap Bootable banana chahate hai. Usme “DriveDroid App” Install hona chahiye. DriveDroid App ko aap Google Play Store se Download kar sakte hai
- Apke pass ek Accha Quality ke USB Cable hona chahiye. Agar apke pass aaccha USB Cable nahi rahega. Toh agar USB Cable Process ke Beeche me Disconnect ho gya toh apko Pura Process fir se karna padega.
- Jis Android Phone ko aap Bootable banana chahte hai. Usme kam se kam 4GB ka Space hona chahiye.
DriveDroid App Ke Use kitne tarah ke Operating System PC me Install Kar sakte hai:
Friends Suppose aap apne PC me Windows 8 OS Install karna chahte hai. As well as apke pass Internet toh hai. But apko Windows 8 ka Setup nahi mil raha hai. To aise me aap kaha se Windows 8 Download karenge.
But agar aapko Android ke is Trick ke bare me as well as DriveDroid App ke bare me jankari hai. Toh aap Windows 8 ka Setup download kar sakte hai. And sath sath Windows 8 ka ISO Image File bhi Bna sakte hai.
Lekin mai apko DriveDroid App ke use se PC OS ka ISO Image banker Installation ke bare me bataunga. Agar aap DriveDroid App De kisi OS ka Setup download karte hai. To iske liye bhi yahi Process karna hoga.
DriveDroid App me aap Windows ke sare OS ka ISO Image bna sakte hai. As well as inka Setup bhi download kare sakte hai,
- Windows 7, 8
- Windows 8.1 , 10
Iske sath-sath aap Linux ke sabhi OS Version ka Bhi ISO Image bna sakte hai. DriveDroid App ke Through. Agar aap chahe to in OS ka Setup bhi Download kar sakte hai,
- Ubuntu
- Kali Linux
- Redhat
- Backtrack
Windows aur Linux ke alawa bhi bahut se operating System hai. Jinke ISO Image bna sakte hai DriveDroid App ka Use karke. To chaliye dekhate hai DriveDroid App ka Use karke kaise Windows OS ka ISO Image banate hai.
Android Phone ko Bootable USB Drive Kaise Banaye:
Agar apke pass uper diye gaye sare Requirement Fulfill hai. As well as apko ek fiy yaad dila deta hu. Ies Trick ko use karne pahle aapka Android Phone Rooted hona chahiye. nahi to Ye Trick kam nahi karega. As Well as Maine Is Post me keval apko Android Phone ko Bootable USB Drive banane ke bare me bataya. Maine apko kisi bhi Tarak ke OS Installation Process ke bare me nahi bataya hai.
Sabse pahle aap Google Play Store se DriveDroid App ko Apne Android Phone me Download kare. Agar apko DriveDroid App Search karne me Problem ho rha hai. Toh aap neeche diye gaye Link se Directly DriveDroid App Download kar sakte hai.
- Jab apke Phone me DriveDroid App Install ho jaye. Tab aap ise open kare. Jaise hi aap DriveDroid App ko open karege. Apke samne ek Message Box opne hoker ayega aur puchega “DriveDroid Would like to root access”. Is Message ko apko “Allow” kar dena hai.
- Jab aap Root access ko Allow kar denge. Toh apke samne DriveDroid App me ek aur page open hoker ayega. Jo page apke samne open hoker ayega usme sabse neeche apko “+” ke Symbol par click karna hai.
- Jaise hi aap “+” wale Symbol par click karnege apke samne ek chota sa menu open oker ayega. Usme se apko ” Create Blank Image” par click karna hai.
- Create Blank Image par click karne ke bad apko. Windows ISO File ka nam aur Size Enter karna padega. (Example- Aagar mera pass Windows ka ISO File hai jiska nam Windows aur uska Size 3500MB hai.). As Well as apko “Partition table” par click karke. Windows Img Create karna hoga.
- Jab apke Windows ka ISO Img File Create ho jaye. Uske aap apne Android Phone ko USB Cable ke Through PC se connet kar de.
- Ab aap apne Phone me DriveDroid App ke Home Screen par jaye. Waha se aap us ISO img ko select kare jo apne abhi-abhi Create kiya hai. Aur usme USB Option par click kare. (Example-Windows 8)
- Ab aap apne Computer me “Rufus Software” ko open kare. Agar aapne Rufus Software ko uper diye gaye. Link se Download nahi kiya hai. To aap yaha neecche diye gaye link se Download kar sakte hai.
- Download Rufus Software For PC
- Rufus Software ko open karne ke bad aap us sab option ko select kare. As Well as Jo Image me Mark Kiye gaye hai. As Well as Sare option ko select karne ke bad “Start Button” par click kar de. Jaise hi aap Start par click karge Android Phone Bootable USB banane ka Process Start ho jayega. Jisme karib 25 se 30 minute tak samay lag sakta hai.
- Jab Ye Process Complete ho jaye. Uske bad apka Android Phone ek Bootable USB Drive me Convert ho chuka hai. Aap is kisi bhi PC me Bootable Pendrive ki tarah us karke OS Install kar sakte hai.
Conclusion:
दोस्तों अगर अपने पास Pendrive या CD नहीं है तो आप इस tricks का use कर सकते हो. यह एक बहुत ही बेस्ट Trick है Computer OS इनस्टॉल करने का लेकिन आप इसे तभी use करे | जब आप अच्छे से Rooting और DriveDroid App के बारे में जानकारी हासिल कर ले |उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम है या आपके पास इस पोस्ट के बारे में कोई विचार या सुझाव है | तो आप हमें कमेंट जरुर करे
TechYukti ब्लॉग पर आने के आपका धन्यवाद