Best VPN Android Apps
Hi Friends, Ye post basically un logo ke liye hai jo Office ya college Hostel me rahte hai aur jo log Proxy server use karte hai. Kyoki aksar apne dekha hoga ki College or office me bahut se site (facebook, Torrent, Twitter, YouTube etc.) aur apps block rahte hai. Aise me Student Un sabhi Sites ya Apps ko Access nahi kar pate hai. Lekin aaj maine apko Kuch aise Best VPN Android App ke bare me bataunga. Jo ki kisi bhi Block Website ko Open kar sakte hai. Rocket VPN App ko VPN client Android App bhi kahte hai. yah ek free android VPN app hai. Ise aap sabhi block sites aur apps ko access kar sakte hai. To chaliye hum baat karte hai ki Android VPN aur VPN kya hota hai.
VPN (Virtual Private Network):
To sabse pahle hum baat karte hai
VPN (Virtual Private Network) ke bare me. VPN basically ek private network hota hai ,Jiske ke liye sabse pahle apko ek VPN server apne system me khareed kar Install karna
padega aur VPN ke provider se aapko ek User Name aur Password milta hai. Jise aap kahi bhi aur kisi bhi system par (jisme VPN install ho) apne User Name aur Password se Apne network ko
access kar sakte hai.
Cargo VPN: VPN software for MAC users | Mac ke Liye VPN Software
Rocket VPN App:
Friends Rocket VPN jaisa ki iska Name hai yah ek Android free VPN app hai. Apne ne upper pada hoga VPN me ki kisi bhi VPN ko apko khareedna padata hai but Rocket VPN ke liye apko koi bhi paisa nahi dena hai bus apko thoda data kharch karna padega. Android VPN software ko aap apne smartphone me Google Play Store se download kar sakte hai. Aur is chalana kaise hai iske bare me mai apko Step by step me batata hu.
Step to Unblock Website and Apps:
Step#1: Friends sabse pahle apko Google play store “Rocket VPN” app download karna padega but download karte time ye dhyan de ki, Jaisa neeche picture me dikhaya gya hai wahi app download kare.
Step#2: Rocket VPN download karne ke bad jaise hi aap ise open karenge. Aap ke samne neeche diya screen open hokar aayega. Jaise aap usper click apke samne bahut se country ka list aayega. Destination par us country ka Name set kar sakte hai, jha ka IP (Internet Protocol ) address apko chahiye.
Example: jaise agar mujhe Germany ka IP Address chahiye to mai Destination par Germany ka Name set karunga.
Step#3: Jab aap apna Destination ko set karne ke bad aap “Connect” par click kar sakte hai. Jiase hi aap Connect par click karenge apke samne ek message box open hoker ayega. Message box ke “OK” par apko click karna hai.
Step#4: Jaise hi connection process complete ho jata hai. Aap kisi bhi block site par access kar sakte hai.
Step#5: Friends agar aap hostel ya office me rahte hai to wha bahut se apps ( WhatsApps, Facebook, Hike, Messenger, Google +) block rahte hai. Jise aap apne Mobile par use nahi kar sakte hai.
Agar aap kisi bhi Block apps par access karna chahte hai iske liye apko Step#1 se Step#4 tak process complete karna hoga. Jaise hi connection process complete ho jata hai. Apko Unblock Apps par jaker “Add launcher” par click karke, Jis bhi app ko Unblock karna hai use Add kar le. उम्मीद है दोस्तों आपको ये पोस्ट पसंद आया होगा | लकिन अगर आपको इस apps के बारे में कोई सुझाव या कोई परेशानी है तो आप हमें कमेंट कर सकते है |