Hi Dosto ! Kl 6 May 2016 ko Coolpad ne India me Coolpad Note 3 Plus Launch kar diya hai. Jo ki Coolpad note ka successer hai. Iss post me mai aapko Coolpad note 3 plus ke bare me apna Honest opinion de rha hun.
Image By Fonearena |
Waise ye Coolpad Note 3 Plus mujhe jyada impressive nahi lga. Chaliye dekhte hain ki isko lena chahiye ya nahi lena chahiye.
Coolpad Note 3 Plus (Indian Version) Hindi:
Dosto Coolpad Note 3 plus ke bare me janne se phle hum ye jaan lete hain ki Coolpad Note 3 aur Coolpad Note 3 Plus me basic difference kya hai. Toh mainly isme aapko 3 major difference dekhne ko milte hain.
#1. Full HD Display:
Dosto Iss phone note 3 plus me aapko 720 pixel HD display ke jagah par aapko Full HD display dekhne ko milti hai. Toh ye koi khas change nahi hai iss coolpad note 3 plus me.
#2. Color Option:
Jo Dusra difference hai wo hai color ka. Coolpad note 3 plus aapko Golden Color me bhi available milega. Toh color se sirf phone ka look badal jayega. Baki andar ke features toh whi milenge.
#3. Price Difference:
Dosto agar Dono phones ke bich Price ka comparison kare toh Coolpad note 3 plus ka price hai 8,999 INR aur Coolpad Note 3 ka price hai 8,499 INR. Toh 500 INR ke difference me aapko bss display Full HD quality me milti hai.
In tino difference ke baad ye dono phone Coolpad note 3 aur note 3 plus aage , piche , upar , niche sab ek jaise hai. Iske alawa aapko dusra koi difference dekhne ko nahi milta. Dosto agar sirf Coolpad company ke bare me baat kiya jaye toh Coolpad wo company hai jisne ye commit kiya tha ki wo 10000 INR ke ander hi saare phones launch karegi.
Agar baat kare Coolpad note 3 lite kit oh wo phone 7000 INR me kafi had tk badhiya tha. Aur isi ke according hmare expectations bhi jyada thi ki iss coolpad Note 3 plus me kuch jyada dekhne ko mile. Lekin sirf display me thodi si changement se hum iss phone ko lene jaye toh koi fayda nahi hai.
Aur agar mai aapse sach bolu to iss phone ko na hi lene me samjhdaari hai. Aur iska reason ek aur hai ki is phone ke andar ka jo processor hai wo hai Mediatek ka MT-6753 aur Jo GPU yani ki Graphic Processor wo hai Mali ka jo Full HD screen ke support me nahi hai. Iss GPU me itni power nahi hai ki aapko Full HD screen wali Games ko ache se play kar sake.
Isiliye coolpad note 3 plus 9000 ke Range me sahi option nahi hai. Aur agar aap lena hi chahte hai aur aapka budget 8500 tak hai toh aap Lenovo Vibe K5 Plus le sakte hai. Jo itne kam budget me bahut hi damdaar phone hai.
Ha agar Coolpad Note 3 Plus me Full HD display ke sath me Helio jaisa processor provide kiya hote toh better hota . Aur agar aap wait kar sakte hain toh aap Meizu M3 Note ka wait kijiye. Toh abhi ke liye Coolpad note 3 plus sirf latest hone ke wajah se mat lijiye. Isse achha aap lete hain K5 plus chahe aap Gaming kare ya video play kare. Aapko sabkuch damdaar milta hai.
Aap yaha se Lenovo Vibe K5 Plus Ko Dekh Sakte hain: Lenovo Vibe K5 Plus On Flipkart
तो दोस्तों यह बिलकुल ही निष्पक्ष रिव्यु था. अगर यह फ़ोन अच्छा होता तो मैं जरुर सलाह देता. लेकिन सिर्फ डिस्प्ले अपग्रेड के वजह से इसको ओके नहीं कर सकता. बाकि आपकी मर्ज़ी.
उम्मीद है कि यह रिव्यु आपको पसंद आया होगा. ऐसे ही आपको किसी और फ़ोन का रिव्यु जानना है तो आप नीचे कमेंट में या फिर फेसबुक (ब्लॉग के पेज पर ही आपको फेसबुक मेसेज का आप्शन मिलेगा) पर मेसेज करके बता सकते हैं.