Hi Dosto !! Agar aapke mn me thoda sab hi doubt hai ki Redmi Note 3 , Lenovo K4 note aur Le 1s ke bich phone ko purchase kare . Toh aap iss post ko padhiye . Mai aapko detail se bataunga ki Redmi Note 3, Lenovo K4 Note aur Le 1s me kon sa phone better hai . Aur kon sa phone aapko lena chahiye.
Waise dosto , Duniya me abhi tk koi aisa phone nahi hai jo bilkul perfect ho . Lekin perfect phone wahi hota hai jo aapke requirement ko fulfill kare wo bhi aapke budget ke according . Lekin abhi jo confusion bana hua hai wo inn tino phone ke bich me Redmi note 3 , Lenovo k4 note aur Le 1s. Jbki tino phone lagbhag ek hi price range me aate hain . Isiliye confusion aur jyada ho gaya hai .
Tino sme ek se ek feature hain . Look-wise bhi tino phone damdaar hain . Iss post me mai bata raha hun ki aapki requirement ke hisab se kon sa phone lena chahiye .
Koi Bhi Phone lene se phle sbse phle aapko ye sochna chahiye ki aapki requirement kya hai . Matlab ki aap phone Gaming ke liye le rhe ho ya camera performance , battery backup jaise specific features ko dekh le rhe ho . Ya fir sabhi ka combination ek perfect phone lene ki soch rhe ho . Lekin abhi ke liye agar aapka confusion inn tino phone ke bich hai toh mai aapko clear kar deta hun.
Agar Inn tino phones ke alag alag features ko dekhte huye compare kare toh:
Android Phone Comparison:
Design:-
Redmi Note 3 , Lenovo K4 note aur Le 1s ye tino hi phone design ke maamle me jabardust hain . Le 1s aur Redmi note 3 dono phone me Metal Unibody milti hai . Lenovo K4 note me bss side me metal laga huya . Fir bhi Lenovo k4 note bhi attractive piece hai . Lekin Inn dono phone se design ke mamle me K4 note thoda piche rh jata hai . Lekin K4 note ke front me speakers bhi diye gaye hain jo ek unique design bhi mana ja rha hai . Toh overall looks ki baat kare toh Redmi Note 3 aur Le 1s better hain .
Display:-
Agar baat kare screen size ki toh tino phone Redmi Note 3 , Lenovo k4 note & Le 1s me aapko 5.5 inches ki Full HD (1080p) screen milti hai . Lekin outdoor use ke maamle me Redmi Note 3 aur Le 1s aage hain . Kyuki inme ultra bright ka bhi feature hai .
Performance:-
Dosto ab baat karte hain kisi bhi phone ke sbse important factor Performance ki . Smartphone processor , RAM , Storage , GPU hi depend krta hai ki ek smartphone kitna badhiya performance dega . Toh isme koi doubt nahi ki agar aapko heavy duty performance wala phone chahiye toh aapko liye Redmi Note 3 inn tino me best hai . Kyuki Redmi note 3 me Snapdragon 650 ka chipset aapko high quality ka performance deta hai .
Sim Slot :
Dosto aajkal ke lagbhag sabhi smartphones me Hybrid Sim Slot aane lagi hai . Jisse bahut logo ko problem ho ja rahi hai . Kyuki kuch log external card bhi lagana hota hai aur 2 sim bhi lagana hota hai . Aise me hybrid sim slot wale me possible nahi hota hai . Tb un users ke liye ek hi option hai Lenovo K4 Note .
Battery & Charging:
Battery Performance ki baat kare jisme battery power aur fast charging ko compare karte hain . Le 1s Fast charging ke mamle me aage hai . Lekin Battery Backup jyada nahi hai . Le 1s me aapko 3000 mAh ka hi battery milti . Lenovo k4 note me 3300 mah ki battery milti hai . Whi aapko Redmi Note 3 me 4050 mah ki battery milti hai . Jo Dono phone ko beat kr deta hai .
Screen protection :
Screen Protection ke mamle thoda sa different ho jata hai . Kyuki Lenovo K4 note aur Le 1s me aapko Gorilla Glass 3 milta hai . Lekin Redmi Note 3 ne kuch alag type ka hi screen protection diya hai . Toh agar aapko sirf Gorrilla Glass 3 hi chahiye toh aap Redmi Note 3 ko prefer mat kijiye .
Camera :
Aajkl ke smartphone ka sbse important factor hai wo hai camera . Camera ke baat krte hain toh aapko Redmi note 3 me milta hai 16 MP , 5MP ka . Lenovo k4 note dusre number par milta hai . Whi Le 1s me aapko 13MP aur 5MP ke combination me bhi thodi nirasha milti hai.
Virtual Reality Support:
Ek Nya feature add huya smartphones me . Jo abhi kuch hi phones me available hai . Toh sidhe shabdo me mai kahu to iss maamle me Lenovo k4 note best hai . Lekin kuch apps ki help se aap Redmi Note 3 aur Le 1s me bhi VR ka maza le skte hain .
Dosto Iske baad aapko sabhi features tino phones me same dekhne ko milte hain . Overall Mai Aapko Recommend Karta hu Redmi Note 3 . Lekin aapki jarurat ke hisab se aap dekh skte hain ki kon sa phone le . अगर आपको कुछ सुझाव या प्रतिक्रिया देनी हो तो आप नीचे कमेंट कर सकते है.