Hi Friends, Aaj mai apko NFC (Near Field Communication) ke bare me batane wala hu. Aap ne apne Smartphone ke Wireless Settings me NFC ko dekha hoga. Agar aap ko NFC ke bare me nahi pta hai to aap dimag me ye sare Question aa rahe honge. NFC kya hai ?
NFC Work kaise karta hai ? NFC ke feature kaun kaun se hai?. Toh aaj iss post me ye sb clear ho jayega.
Near Field Communication (NFC):
NFC ek Short-range ki Wireless Connectivity hai jo 2 Device ke beech communication ke liye use kiya jata hai. Agar aap NFC se aap kinhi 2 device ke beech Communication karna chahte hai jaise ki Data Sharing, Music, Video, Photo sharing, Online Payment, to apko dono Device ko apas me Lagbhag Touch karna hoga.
Kyoki NFC Device me ek Magnetic Chip lga hota hai. Magnetic field tabhi Enable hota hai jab 2 NFC device apas me lagbhag touch karte hai.
Top 5 Uses About NFC: NFC ke 5 Uses
Enterprise: Multinational Company (MNC), College aur university me NFC ke feature apko Future me dekhane ko milenge. College aur University me NFC ka use ID card bnane ke liye kiya jayega.
Jisse College ya University me apko Register ka kam nahi padega bus apko apne college ya University ke gate par NFC Device lagana hoga. Jo bhi Student ya Teacher gate par pahle entry karne ke liye pahle Register par signature karte the, wo sab NFC Device lagane ke bad bus apna ID card NFC Device ke pass le jana hoga aur unka Attendance Submit ho jayega.
MNC Company me NFC ka use Access card bnane me kiya jayega jisse Employee ko apne cabinet me lage NFC Device ko apna Access card dekhana hoga aur unke Project aur Attendance ke bare me sari report unke laptop ya Computer par open hoker aa jayegi.
Life Style: Future me apko NFC use apke Lifestyle me bhi mil sakta hai jaise ki Shoes, Shirt, aur bhi bahut se life Style things hai jisme apko NFC ka use mil sakta hai.
Governments: Government aur public ke liye kafi acchi opportunity hai. Man lijiye ki koi railway Station Par Public Wifi lga hai usko Connect karene ke liye bus apko apne Smartphone ko ek NFC device ke pass le jana hoga aur apka Smartphone Connect ho jayega.
Shopping: Shopping me NFC pahle se use ho rha hai but abhi tak only Money transfer ke liye use hota tha. Future me NFC ka use Product Price ke sath-sath aap us Product ke bare me sari Information bhi pta kar sakte hai.
Marketing: Marketing jo ki ek bahut hi complex jagah hai but yha bhi future me apko NFC dekhane ko Mil jayegaa. Marketing me apko Visiting card me NFC dekhane ko mil jayenge, Visiting Card abhi apko QR Code dekhane ko milta hai.
Tod dosto ye tha NFC Kya hota hai aur Uske 5 most useful uses kya hai hamari life me..
Read: SAR Value Kya Hota hai? Sabhi Smartphone me
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहो होगा |अगर इस पोस्ट में आपको कोई परेशानी है या इस पोस्ट के बारे में आपका को विचार है तो आप हमें कमेंट जरुर करे |
धन्यवाद