Top 6 Google Chrome Most Important Tricks
Hi Friends, Kya aap Google Chrome ke sare Tools ko use karte ho. Kya apne kabhi socha hai ki Google Chrome me apko Website Search ke alawa aur bhi bahi se Tricks & Tools mil sakte hai.
Google Chrome me apko bahut se Tools aur Extension milate hai jinse aap bahut kuch sikh sakte hai. agar aap inke baare me nahi jante hai to Koi baat nahi kyoki aaj mai apko Google Chrome ke Top 6 Tricks aur Tools ke bare me bataunga. In Top 6 Tricks se aap apne Web browser ka faster aur Better bna sakte hai.
Top 6 Google Chrome Tricks & Tools:
1.Install Chrome Extension:
Google Chrome Web Browser me apko bahut se Software Plugin aur Install Extension milenge jinko aap apne Web browser par Install kar sakte hai. Exaple ke taur par mai apko kuch Popular Extension or Plugin ke bare me bta deta hu.
-
- Screen Video Recorder: Isse aap apne Chrome Browser par kuch bhi record kar sakte hai.
- Grammarly: Grammarly ek bahut Popular English Grammar Correction Plugin hai agar ise aap apne Chrome me install kar lenge to aap jab bhi apne Computer me kahi bhi type karenge to agar usme Spelling aur Grammar Error ko ye bta deta hai aur sath me uska sahi solution bhi batata hai.
2. Chrome Me Media Player ka Use Kaise kare:
Agar aap ke Laptop ya PC me koi bhi Video Player, Audio player aur pdf Reader Software nahi hai aur apko need hai Video dekhane ki , Song sunane ki ya fir koi Important pdf document read karne ki to aap bus apne Video, Audio ya pdf ke file ko bus aap Drag karke bus aap Chrome Video me tak le jaye apka file open ho jayega bina kisi Video Software ke.
Related: Download Chrome Media Player Plugin
3. Chrome Me Kisi Bhi Web Page ko Pdf Me Convert kaise kare:
Chrome me apko Pdf Converter in-built milta hai. Agar aapko Chrome web Browser me koi Web page, Documents, ya koi Image ko Pdf me Convert karna hai to bus aap ctrl+P ko ek sath press kar de apka Document, Web page ka Pdf Create ho jayega, Agar aap chahe to Save as Pdf par click karke save bhi lar sakte hai.
Related: Pdf Writer Softwares
4. Google Chrome Keyboard Shortcut ka Use Kaise Kare:
Google Chrome Keyboard Shortcut ki sabse khash baat ye hoti hai ki aap is Shortcut Keyboard ko apne hisab se customize kar sakte hai hum isko Googe Search Shortcut bhi kahet hai. jaise ki agar aap chahte hai ki jab mai Y Key press karu to Youtube Open ho jaye aur F Key Press karu to Facebook Open ho jaye. Chrome Keyboard Shortcut ke liye pahle apko Keyboard Shortcut Plugin Extension downlaod karna hoga.
5. Google Chrome Se Fake Current Location Kaise Banaye:
Apne kabhi ye soch hoga ki Google Map par jo Address dikhate hai sayad wo Address Original Address na ho. Agar aap lagta hai aisa nahi ho sakta hai to aap khud karke dekh lijiye. Aap Google Chrome ki Help se apna current address change kar sakte hai. Fake Current Location ko change kar dene ke bad apka Current address Google par kabhi sahi nahi dikhega. Apna Fake Location bnane ke liye apko ye steps fallow karna padega.
-
- Open Chrome
-
- Go to Tool
-
- Go to Developer Tool
-
- Press Esc Key for open console
-
- Click Emulation Button
-
- Change the value of X aur Y Axis Value
- Related: Fake Location ke bare me aur jyada janne ke liye click kare.
6. Google Chrome se Sare Hidden Password kaise Dekhe:
Google Chrome un sare Password ko Save kar leta hai jo bhi Password aap Chrome me type karte hai. Chahe aap use Remember Me kiye hai ya nahi kiye Chrome ko isse koi matlab nahi hota hai. But Sare Password text me nahi Asterisk (dot) Form me save hota hai.
Is Link par click kare chrome://settings/passwords
Dosto agar apko Top 6 Google Chrome Tricks ke bare me Jankari hai. To aap in sabhi Tricks Ka use jarur kare aur agar apko yah Tricks Pasand aaye ho to aap inhe Share Jarur kare.