Hi Friends, Aaj mai apko Youtube ke kuch aise shortcut ke bare me bataunga jisse apko Youtube chalana bahut asaan ho jata ho jayega. Aur bahut maza bhi aayega. Maine bahut log ko dekha hai jo Youtube ko chalane ke liye hamesha Mouse ka use karte hai, jo kafi old fasion sa ho gya hai jo dekhane me accha nahi lagta hai aur ye apke personality par bhi effect dalta hai. Isliye ye 10 Youtube Shortcuts aapko banayega ek Smart Youtube User .
Example ke taur par agar aap apnr friends ke samne Youtube chala rahe hai aur aap Youtube Shortcuts ka use karte hai to, aap apne friends ke samne apne aap ko Intelligent dikha sakte hai.
10 Youtube Shortcuts Keyboard Button:
#1: Tab ( Links ko Select Karne Ke Liye)
Tab button se apko Youtube ke kisi bhi feature ko select kar sakte hai aur selected feature ko open karne ke liye bus apko Enter button press karna hoga. Tab Button Apke Computer Keyboard me upper left side ESC button ke neeche bna hota hai.
Jaise hi aap “TAB” button press karte hain aapka Cursor Youtube ke icon par activate ho jayega. Aur aapko jis bhi icon par jana hoga aapko Enter press kar dena hai. Jo bahut hi simple hai. Aur fast bhi.
#2: K Button (Play & Pause Karne Ke Liye)
YouTube me abhi tak Play aur Pause ke liye aap mostly Spacebar ka use krte honge but kabhi-kabhi ye hota tha ki jab hum kisi aur window me kam karte hai to Spacebar nahi kam karta hai iske liye Youtube me Play aur Pause ke liye hum K button ka use bhi kar sakte hai. Aur K Button ko jab bhi aap press karenge wo Youtube ke liye kaam karega. Hume Mouse se Youtube ke page par click nahi karna padega.
#3: J and L Button (Forward aur Backward Karne Ke Liye:
Youtube me pahle hum video koForward aur Backward karne ke liye Arrow Key ka use karte the jisse Video 5 Second Forward aur backward kar sakte hai but isme bhi wahi problem ati hai jo Spacebar ke sath ati hai. Matlab agar kisi aur window par hai to Video Forward aur Backword nahi hota hai .
Youtube ne is problem ko door karne kea b arrow ki ke sath-sath J and L Button ka bhi use kar sakte hai video ke Forward aur Backword ke liye aur J and K Button se video 10 Second Forward aur Backward kar sakte hai.
#4: Numeric Key Button:
Computer ke keyboard me sabse upper dusari line 1-9 ko Numeric Key kahte hai jiska use Youtube me video ko fast Forward ke liye hota hai. Jaise ki agar aap chahte hai video ka 10% Forward karna to bus 1 press kar dijiye Youtube ka video 10% Forward ho jayega.
Isi tarah aap job hi Numeric Key press karte jayenge uska Utna % video forward ho jayega. Aur ummeed karta hu ki Aapko aise button ki jarurat thi.
#5: < > Button: ( Video Ki Speed Badhane Ghatane ke Liye):
Symbolic button greater than (>) aur Less than (<) ka use Video ka speed badhane aur kam karne ke liye hota hai.
Agar apko video ka speed badhana hai to apko Shift Button ke sath Greater than (>) ko press karna hoga aur agr apko video ka speed kam karna hai to apko Shift Button ke sath Less than (<) ko press karna hoga.
#6: 0 Button:
Youtube me 0 Numeric key ka use video ko Restart karne me kiya jata hai. Agar aapko video fir se dekhna hai toh aap 0 Button press kar sakte hain.
#7: Arrow Key:
Dosto Youtube me Arrow key ka use volume ko control karne me kiya jata hai. Video ka volume badhane ki UP Arrow aur Volume ko ghatane ke liye Down Arrow ka use karte hai.
#8: , (comma) aur .(dot) Key:
, (Comma) aur . (dot) ka use Youtube me Video ke frame ko aage peeche karne ke liye kiya jata hai. But ye dono key jab frame ko aage peeche karenge to apko video pause ho jayega .
#9: F Button:
F YouTube me F Key ka use video ko Full Screen karne ke liye kiya jata hai.
#10: ESC:
ESC Button ka pura nam Escape Button hai aur Youtube me iska use Video ko Full screen se exit karne me kiya jata hai.
Related to Youtube:
Conclusion:
Dosto ! Mai Ummeed karta hun ki Ye Youtube Shortcuts aapke liye bahut useful hoga. Kyuki isse aapko bar baar mouse nhi chhuna padega. Aur aap apne dosto me sbse Smart bhi ho jayenge. Toh abse aap jab bhi YouTube use kare aise Youtube Shortcuts ko jarur istemal kare