Hi Friends, Kya apko YouTube Video Editor ke bare me janakri hai?. Agar ha toh aap ek acche YouTuber ban sakte hai. But bahut se Youtuber ko YouTube Video Editor ke bare me janakari nahi hai. Toh mai ye Trick Specially un YouTuber ke liye batane wala hu. Jinke pass YouTube Channel toh hai. But Unhe YouTube Video Editor ke bare me nahi pta hai.
As Well as agar aap Future me apna YouTube Channel banane wale ho. Toh apke Liye ye janana bahut jaruri hai. Ki hum YouTube se Video kaise edit karte hai. Kyoki YouTube par Subscriber Increase karne ka ye sabse popular trick hai.
For Example- Agar apne Koi Aisa Video banaya jisme apko apna Account Number, Credit Card Detail, As well as Debit Card Detail Show karna pada. But aap Software se Video Editing ke Samay un Important Details ko Blur karna bhul gaye. Aur jab apko apne Video ko YouTube par Upload karna hai. Tab apko yaad aaya aye mai toh apne Credit Card ka Information Blur Larna bhul gaya.
Information ko Blur karne ke liye apke pass 2 raste hai. Ya to aap us Video ko fir se Software se Edit karke Blur karo. But Isme apka But time Loss ho jayega. Ya fir aab Video Upload karte samay YouTube Video Editor ka Use karke. Apne Video ke Important Information ko Blur kar sakte hai.
Features Of YouTube Video Editor:
Friends YouTube Video Editor me Ek General Video Edit karne ke sare Feature mil jayega. Hum ye toh nahi kah sakte ki. YouTube Video Editor se aap Adobe After Effect pro Jaise Editing kar sakte hai. But aap YouTube Video Editor se lagbhag Good Quality ka Video Edit kar sakte hai. Neeche YouTube Video Editor ke Kuch Key Features diya gaye Hai.
- Windows PC Ke Liye Best Video Editing Software
- Combine
- Trim
- Blur
- Stabilization
- Rotate
- Effect
- Text & Text Effect
- Slow Motion
YouTube Video Editor Ka Use kaise Kare:
YouTube Video Editor ka Use karne ke liye apke pass YouTube Account Hona chahiye. Agar apne Apne YouTube Account ko LogIn kiya hai. Toh chaliye dekhate hai ki kaise YouTube Video Editor Ka Use karte hai.
YouTube Video Editor basically 2 part me Divide hai.
- Basic Video Editing
- Improve Video Quality & Enhancements
Toh Mai apko pahle Basic Video Editing ke bare me bataunga. Uske bad Bataunga Ki aap Video Quality kaise Improve kar sakte hai.
# Basic YouTube Video Editor:
Step #1:
Sabse pahle aap apne Video ko apne YouTube Channel par “Upload” Kijiye. Agar aap apne Video ko keval Edit karna chahte hai. Toh aap video Upload karte samay “Public” ki jagah “Unlisted” Select kar lijiye.
Step #2:
Jab apka Video Upload Ho jaye uske bad aap “Create” aur fir Create se “Video Editor” par click kare.
Step #3:
Jaise hi aap Video Editor par click karenge. Aap YouTube Video Editor Service me Inter kar jayenge.
Step #4:
Ab aap apne Video par Mouse ka Left Button Press karke. Jaha Par Likha “Drag Video Here” wha par Drag karke le jaye.
Agar apne Video ka Voice alag se Record kiya hai. Toh aap apne Voice ko Video Timeline Ke neeche wale Timeline me Drag kar sakte hai.
Step #5:
Jaise hi aap apne Video ko Video Timeline ke par drag karke le jayenge. Apka Video Editing ke liye ready ho jayega. Ab apko YouTube Video Editor me Video Edit karne ke 3 Option Milate hai.
- Filter
- Text
- Audio
# Filter-
Filer ka use karne ke liye. Bus apko jo bhi Filter apne Video me Set Karna hai uske Uper click karna hoga. Aur wo apke Video ko Filter kar dega.
# Text-
Agar aap apne Video Me koi Text Add karna chahte hai. Toh aap bus Text par click kar dijiye. Waha par Text add karne ke sare Tool Mil jayenge. Jaise ki Text Font, Color, Bold, Italic, Banner, Align Position Etc.
But ek bar dhayan de text Add karne ke liye apko “Enable Text” Wale option par tick karna hoga.
# Audio–
Yaha se aap apne Video ke Audio ke Volume ko Badha sakte hai, Kam kar sakte hai. Volume Bass, Pan, treble Set kar sakte hai.
Step #6:
Jab apka Video Complete Edit ho jaye. Uske bad aap “Create Video” par click karke. Apne Video ko save kar sakte hai. Ya Publish kar sakte hai.
# Improve Video Quality & Enhancements:
Agar aap YouTube Video Editor se Edited Video ke Quality ko improve karna chahte hai. Ya apne YouTube Channel par koi Video Upload kiya hai. Us video ka Quality Improve karna chahte hai. Toh aap neeche diye gaye Step ko Follow kare.
Step #1:
Sabse pahle apko apne YouTube Channel ke Dashboard me jana hoga. Dashboard me apko Channel ke video milenge. Waha se jis bhi Video ka Quality Improve karna hai. Use Video ke side me diye gaye “Edit” Option par click kare.
Step #2:
Jaise hi aap “Edit Option” par click karenge. Aap apne Video ke Basic Info (Info & Setting) me Enter kar jayege. Jaha se apko apne Video ke bare me sari janakri mil sakti hai.
Wahi Info & Setting Option ke Side me apko “Enhancement” ka Option milega. Apko Enhancement Option par click karna hai.
Step #3:
Video Quality Enhancement me apko Video Quality Improve karne ke Sare tool mil jayenge. Jaise blurring Tool, Stabilization Tool, Auto Fix, Effect Etc.
Toh chaliye mai apko Video Enhancement Tool ke ek-ek Feature ke use karne ke bare me jankari hasil karte hai
# Slow Motion , Trim, Rotate Tool:
Agar aap apne YouTube Video me Slow Motion Effect Insert karna chahte hai As well as apne Video ko Trim ya Rotate karna chahte hai. Toh aap Enhancement option par click karke. Direct Slow Motion , Trim & Rotate Tool par pahuch sakte hai.
# Video Stabilizing Tool:
Agar kabhi galti se Video Recording karte samay. Apka Camera hil-dul gaya ya aap kahi aise jagah hai . Jaise Bus , Train Jaha par aksar hilati-Dulate Video Record hote hai. Aise me bahut bar aap log aise Video ko YouTube par Upload bhi nahi karte hai.
But agar apko YouTube ke Video Stabilizing Tool ke bare me janakri hai. Toh aap kisi bhi Hilate-Dulate Video ko sahi (Stable) kar sakte hai. But Isme ek Condition hai apka Video 10 minute se jayada ka nahi hona chahiye.
# Blurring Tool & Blurring Effect:
YouTube Video Editor Blurring Tool me video blurring karne ke2 Option milenge.
- Blur Face
- Custom Blur
Agar aap Blur Face Option ka use karte hai. Toh apke Video me Dikhaye jane wale Sabi People ka Face (Chehara) Blur ho jayega. Automatically.
Agar apko apne youtube Video me kuch bhi Blur karna hai. Toh aap Custom Blur ka use kare. Custom Blur me aap kisi Particular Face, Details, Information, Photo, Accident , Unwanted Photo & Video, ko apne Anusar Blur kar sakte hai.
Step #4:
Jab apka apne Video par Sare Tools ka use karke Video ko Edit Kar le. Uske bad aap Save par click karke apne Video ko Save kar sakte hai.
Conclusion:
Dosto is post me maine keval YouTube Video Editor aur video Quality Enhancement ke bare me bataya. Agar aap In sare Editing tool ka use apne Video ko Edit karne me karenge. Toh apke youtube channel par subscriber jaldi increase honge. As well as Agar aapke pass koi Accha Video Editing Software nahi hai. Toh aap Direct YouTube se Video ko Edit kar sakte hai. Sabse khash baat YouTube Video Editor Tool ka Interface ekdam simple hai. Agar apne Kabhi Video Editing Tool ka use nahi kiya hai. Tab bhi aap bahut asaani se youtube par video Edit kar sakte hai.
उम्मीद है ये पोस्ट आपको पसंद आयेगा और आपके लिए हेल्पफुल होगा | अगर आपको इस पोस्ट में कोई भी प्रॉब्लम है या आप YouTube End Screen, i-Button और Annotation के बारे में जानकरी चाहते है | तो आप हमें कमेंट करे |
TechYukti ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद्