Miui 8 Stable Ko Xiaomi Redmi Note 3 Par kaise Update Kare
Hi Friends, Is Post me mai apko Redmi Note 3 ke Miui 8 Stable Update aur Miui 8 ko update Karte samay jo problem aati hai use kaise Fix karte hai in dono ke bare me batane wala hu.Agar aapko Miui 8 ka stable version apne Redmi Note 3 me Update karna hai to sabse pahle apko Miui 8 Stable Rom ki file ko download karna hoga.
Related:
- Download Miui Eight Stable ROM File
- Download Miui Eight Beta ROM File
Miui 8 Stable Rom ko download karne ke bad aap Miui 8 file ko apne Redmi note 3 Smartphone ke Internal Memory me save kar le, Save karne ke bad aap neeche diye gaye Steps ko fallow kare.
Related: How to Download Android Nougat 7.0 on Redmi Note 3
Miui 8 Ko Kaise Update Kare:
Step 1. Sabse pahle apko apne Redmi Note 3 ke Updater me jana hoga.
Step 2. Updater me apko 3 dots dikhega aap usper click kar ke aap Update file ko Choose kar sakte hai.
Step 3. Jis file me apne Miui 8 ka Stable Rom Download kiya hai aap use open kare aur Miui 8 Stable rom par click kare. jaise hi aap Miui 8 file par click karenge apka Updater start ho jayega.
Step 4. Verify Update par click kare.
Step 5. Reboot Smartphone
Step 6. karib 30-minute bad apko Smartphone Redmi note 3 Update ho jayega.
Agar aap ke Smartphone Redmi Note 3 me “Can Not Verify” ki Problem aa rhi ho, to apko pareshan hone ki jarurat nahi hai bus aap neeche diye gaye step ko fallow kare.
Step 1. Jo apne Miui 8 ka Rom file download kiya hai sabse pahle us file ka nam change kar de.
Step 2. Ab apne Smartphone ko Reboot Kro.
Step 3. Updater me jaye aur 3 dots par click kare.
Step 4. Miui 8 Package ko select kare.
Step 5. Ab aap ke Redmi Note 3 me Recovery Start ho jayegi aur kuch time bad apka Smartphone bina kisi problem ke update hone lagega.
Step 6. Apne ” Can Not Verify” ki Problem Solve ho jayegi.
उम्मीद है ये ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा और आपके लिए हेल्पफुल रहा होगा |अगर आप को इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम है तो आप हमें कमेंट करे |
धन्यवाद्